New York: Americi akhbar Washington Post ne Turkey ke sadar Rajab Tayyab Erdogan par kadi tanqeed karte hue inhen ek Dictator qarar diya hai. Akhbar likhta hai ke Erdogan awaami maqboliat kho chuke hain. Apne muntakhib mukhalfin, Naqadoun aur deegar ko gaaliyan dete hain. Wo opposition jamaatoun se talluq rakhnay walay Mayor ko kuchalnay aur inhen dabanay ki koshish kar rahay hain. Americi akhbar ke mutabiq Erdogan ke daur mein Turkey mein jamhoriat ko mout ke ghaat utaar diya gaya hai aur is ke sath sath khud Erdogan ki apni awaami maqboliat bhi khatam ho chuki hai.
Americi akhbar Washington Post ne ek kard nawaz Turk Mayor Ayhan Bilgen ka Interview bhi liya hai. Unhoun ne kaha ke Turk sadar Tayyab Erdogan aur un ki jamaat ke iqtidaar ki mojoodgi mein kardoon ke haami kisi shakhs ka apne ohday par qaim rehna mushkil ho gaya hai. Inhen har waqt ye khatka laga rehta hai ke inhen kisi bhi waqt giraftar kiya ja sakta hai.
Khayaal rahay ke rawan saal March mein Turkey baldeati intikhabaat mein Opposition jamaatoun ke 65 umeedwaroun ne baldeati Counsel ki nashistoun par kamyabi haasil ki. Baad azan Turkey ki hukmaran jamaat ne 10 Consul ke siwa baaqi tamam ko apne control mein le liya aur kam se kam 20 Mayor ko hirasat mein liya gaya hai.
Is report mein bataya gaya hai ke 2016 mein nakaam baghaawat ke ilzamaat ke baad opposition jamaatoun, Awaami groups aur Erdogan ke liye na pasandeedah afraad ke khilaaf Turkey ka Crack down taiz ho gaya hai.
Lekin bohat se muntakhib Mayor ki bartarfi, Jo lakhoon Voters ki khwahish ki numaindagi karte hain mulk mein jamhoriat ko darpaish khatraat ka ek wazeh muzahira tha. Insani haqooq ke Groups, Tajzia nigaroun aur Peoples Democratic Party ke arkaan ke mutabiq hukoomat ney opposition se talluq rakhnay walay Mayor par arsa hayaat tang kar diya hai.
Party ke zair e intizam Municipalities ko nishana banana Turkey ki siyasat ki ek khasusiyat ban gaya hai. Ye silsila 2016 ke baad se mazeed taiz hogaya hai.
Mashriqi Turkey ke Kars ke Mayor Ayhan Bilgen ke bamujab jab hum har raat sonay jatay hain to hamein bi hifazat subah ka yaqeen nahi hota balkay har waqt apni giraftari ka khatka laga raha hai. Kardoon ke haami Mayor ki hukoomat ka taqub hukoomat ki hikmat e amli hai.
Washington mein mashriq wasti Institute mein Turkey ke programme ke Director Gonul Tol ne kaha ke ek ultra ultranationalist party ke sath ittehaad karne ke baad Erdogan ki HDP mukhalif policy ziyada shiddat ikhtiyar kar gayi hai lekin is ke bawajood is shiraakat se sadar ki maqboliat mein kami aayi hai. Doosri taraf Turk hukkaam inkaar karte hain ke AK party ke khilaaf un ke iqdamaat siyasi intiqam par mabni hain. Unhoun ne kaha hai ke ye mehez ek qanooni masla hai aur hukoomat ayeen ki baladasti ke liye iqdamaat kar rahi hai.