Thursday, May 16, 2024
HomeSliderAmerica taliban muahiday par Afghan hukoomat ko itminan nahi

America taliban muahiday par Afghan hukoomat ko itminan nahi

Kabul: Afghanistan hukoomat ne America taliban muzakraat ke baad fariqain ke darmiyan tey panay walay aman muahiday ke masoude par izhaar-e-tashweesh karte hue, kaha hai ke is par mazeed wazahat ki zaroorat hai. muahiday ke tehat taqreeban 5000 Amrici foujoun ka inkhala hoga, paanch fouji adday band honge, jiske badlay zamantin chahiye hongi ke Afghanistan ki sarzamen America ke khilaaf shiddat pasand hamloun ki panah gaah ke tor par istemaal nahi hogi.

Yeh musaveda khusoosi Amrici alchi baraye Afghan aman, zulme khalil zaad ne sadar ghani ko paish kiya hai taham taliban ki taraf se dar-ul-hukoomat kabul aur mulk bhar ke shobai marakaz mein hamloun mein shiddat aaney ke baad muahiday ke baarey mein mukhtalif simtao se shubhat ka izhaar kiya ja raha hai, jin mein kayi sabiq Amrici ohdedar aur siyasat daan shaamil hain. ghani ke tarjuman, Siddiq Siddiqui ne ek twitter paegham mein tehreer kiya hai ke Afghan hukoomat ko is baat par bhi tashweesh hai, is liye hum chaheinge ke is dastaweez ki mazeed wazahat samnay aaye, taakay khatraat aur manfi nataij ka mukammal tor par jaiza liya jaye aur khadshaat daur kiye jayen.

Afghan hukoomat ke mutadid ohdedar jinhen taliban ki janib se muzakraat se inkaar ke baad baat cheet se alag rakha gaya hai, jisay woh ghair mulk ki taraf se musallat kardah kath-putli hukoomat samajte hain, Afghan hukoomat ko shadeed tashweesh hai ke muahiday ke nateejay mein bohat kuch diya jayega jab ke taliban ko dobarah Iqtidaar mein aaney ki ijazat mil jayegi. haliya dinon ke douran baaghi jungjuoun ke badey grohoun ne qandoz aur pull khamri ke shumali shehroun par hamla kiya hai.

Taliban ne kabul mein bhaari hisaar walay mehfooz ilaqay mein ghair mulki tanzeemon ke zair-e-istemaal dafatir par badey tractor bomb se kiye janay walay hamlay ki zimmedaari qubool ki hai. –YTN STAFF