Jeddah: Mashriq wasti ke liye Americi fouji commander ney kaha ke America November tak apni nisf fouj Iraq aur Afghanistan se wapas talabb kar le ga. Americi Central Command ke sarbarah General General Frank McKenzie ney kaha ke Iraq mein 5200 fojion se 3 hazaar taq kami ki wajah se Daesh ko askriat pasandon ke khatray se nimatnay ke liye Iraqi Security Forces ki salahiyat par Trump intizamia ke aetmaad ki akkaasi hoti hai.
Afghanistan mein America nay June mein apni mojoodgi ko kam karkay 8600 fouji kardiya aur ab November tak yeh 4500 fouji reh jayen ge. Iraq mein khitaab karte hue McKenzie nay kaha ke America Daesh ke khilaaf apni ladai mein Iraqi fouj ki himayat jari rakh sakta hai lekin kaha ke hatmi maqsad ek aisa Iraq tha jahan muqami Forces khud hi shiddat pasandon ko wapas anay se rokk sakay. Baqi Americi fouji Iraqi security forces ko mashwaray aur muawnat ka kaam jari rakhen ge jab woh Daesh ko khatam karne ki koshish karen.
Americi faisla hatmi maqsad ke liye hamari musalsal wabastagi ka wazeh mazhar hai aur ek Iraqi security force hai jo Daesh ke baghaawat ko roknay aur bairooni imdaad ke baghair Iraq ki khudmukhtaari ko haasil karne ki salahiyat rakhti hai. Unhoun nay mazeed kaha ke safar mushkil raha, Qurbani badi rahi, Lekin peshraft qabil zikar hai.
Americi fojion ne 2003 mein Iraq par hamla kiya tha aur 2011 mein wahan se chalay gaye they lekin Daesh ke Iraq ke baday hissay par qabza karne ke baad 2014 mein woh wapas aaye they. Agarchay Americi sadar Donald Trump ne Iraq se mukammal tor par inkhala karne ki baat ki hai lekin Pentagon hukkaam ne khabardaar kiya hai ke Daesh ki bahaali se bachney ke liye aur Iraqi hukoomat ki Iran ke siyasi aur fouji asar-o-rasookh ko mehdood karne mein madad karne ke liye Americi fouj ki mojoodgi zurori hai.
Alawa azeen Americi afwaj 2001 se hi Afghanistan mein mojood hain jab unhoun ney Al Qaeda ke 9/11 hamlon ke jawab mein hamla kiya tha, Jis ke liye Afghanistan Taliban ke daur hukoomat mein ek panah gaah tha. America ki zair qayadat hamlay ney fori tor par Taliban ko iqtidaar se hatadiya tha lekin is ke nateejay mein tanaza tawaqqa se kahin ziyada taweel hochuka hai gaya.
June mein McKenzie neh kaha tha ke Afghanistan mein Americi fojion ki tadaad ghatt kar 8600 hogayi hai. McKenzie neh haliya hafton mein kaha ke inhen Al Qaeda ke sath Taliban ke mustaqil taluqaat aur Afghanistan mein aala satah par tashadud ke baaray mein sawalaat ki wajah se mukammal inkhala ke baaray mein shubhat hain.