Thursday, May 2, 2024
HomeSliderAmerica ne Iran ke wazeer kharja Javad Zarif ko visa dainay se...

America ne Iran ke wazeer kharja Javad Zarif ko visa dainay se inkaar kardiya

New York: America ne Iran ke wazeer kharja Mohammad Javad Zarif ko wezra dena se inkar kar diya hai jis se wo jumaraat ko New York mein honay walay aqwam mutahidda ki salamti council ke ijlaas mein shirkat nahi kar sakenge.

Tafseelaat ke mutabiq ek Americi ohdedar ne apni shanakht posheeda rakhnay ki shart par kaha hai ke America ne Javad Zarif ka visa mustard kar diya hai. Wazeh rahay ke America aur Iran ke darmain kasheedgi mein izafah 3 January ko Irani al Quds force ke general Qasem Soleimani ki Iraq mein halakat ke baad huva.

Irani wazeer kharja ka America ka dora kasheedgi bhedne se pehlay programme ke tehat tey tha. Aqwam mutahidda ka head quarter Americi shehar New York mein qaim hai. 1947 ke head quarters agreement ke tehat America ka farz hai ke wo ghair mulki sefartakaroun ko aqwam mutahidda tak rasai faraham karne mein taawun kere. Taham Americi hukoomat ne kaha hai ke wo security, Dehsatgardi aur kharja policy ki bunyaad par visa ki darkhwast mustard karne ka ikhtiyar rakhta hai.

Americi mehakma e kharja ne Javad Zarif ko visa na dainay par fori bayan dainay se inkaar kiya hai. Aqwam mutahidda mein Iran ke mission ne kaha hai ke inhen America ya aqwam mutahidda ki janib se Javad Zarif ke visay se mutaliq bazabta tor par koi pegham masool nahi huva hai. America aur Iran ne mojooda sorat e haal par ek dosray ke khilaaf sakht radday amal diya hai.

Americi sadar Donald Trump ne Iran ko khabardaar kiya hai ke agar is ne Americi mafadaat ko nuqsaan pohanchaya to America is ke jawab mein ziyada sakht aur shiddat ke sath karwai kerega.

Sadar Trump ne apni Twits mein likha hai ke Iran apne general ki halakat ka badla lainay ke liye baray andaaz mein baat kar raha hai aur agar is ne aisi koi harkat ki to America bohat teezi aur shiddat se Iran ki aisi 52 aala satah ki tansibat aur maqamat par hamla kerega jo is ki saqafat ke liye nihayat ahem hain. Americi sadar ke mutabiq nishanay par liye gaye Iran ke ye 52 ahdaaf ka hindsa un Americi shehrioun ki munasibat se muntakhib kiya gaya hai jinhen kayi baras qabal Iran ne yarghamal banaya tha. –YTN STAFF