Saturday, May 4, 2024
HomeTrending NewsAmerica muashi bohraan ka shikaar

America muashi bohraan ka shikaar

Washington: Americi Federal Reserves ke sarbarah ney kaha hai ke aalmi waba coronavirus se America shadeed maali bohraan ka saamna kar raha hai taham mulk ko 1930 jaisay maali bohraan ka saamna nahi karna pade ga. Federal Reserves ke sarbarah Jerome Powell ney umeed zahir ki hai ke Americi maeeshat rawan baras ke aakhir mein bahaal ho jayegi.

Khabar rasan idaray ke mutabiq duniya ki taaqatwar maeeshat coronavirus ki waba se pehlay mazboot thi lekin is waba ki wajah se mulk mein kaarobar band huwa. Adaad-o-shumar ke mutabiq coronavirus waba ki ke phelao ko roknay ke liye Lockdown ke ba-aas 30 Million se ziyada mulaazmaten mutasir huvi hain. Federal Reserves ke sarbarah Jerome Powell ne Americi TV Channel CBS ko ek Interview mein kaha ke April aur June se mutaliq iqtisadi data bohat kharab hoga. Muashi sar garmioun mein badi had tak kami aayegi aur be rozgari mein bhi bohat izafah hoga.

Unhoun ne kaha ke is sah mahi mein Americi moashiyat 20 se 30 feesad tak gir sakti hai lekin ye guzashta sadi ke muashi bohraan se bohat had tak kam hoga. Federal Reserve ke sarbarah ne kaha ke un ke khayaal mein teesray sah mahi mein muashi sargarmia shuru hojayengi lekin unhoun ne khabardaar karte huve kaha ke mamool ki janib wapas honay mein waqt lag sakta hai.

 Wazeh rahay ke coronavirus ki waba se duniya mein sab se ziyada America mutasir huwa hai jahan 89 hazaar se zayed halakatain Record ki gayi hain. Doosri janeb peer ko coronavirus ki sorat e haal par aalmi idaara sahet ka salana ijlaas shuru ho raha hai. Taham ye khadsha zahir kiya ja raha hai ke America aur China ke darmain tanao se ye ijlaas mutasir ho sakta hai.
Ye salana ijlaas umomi tor par 3 haftoun tak jari rehta hai lekin ye ab 2 din jari rahega. Is Virtual ijlaas mein reyastoun ke sarbarah, Hukoomati sarbarah, Wazraye sahet aur deegar aala hukkaam shirkat karenge. Aalmi idaara sehat ke sarbarah Tedros Adhanom ne jummay ko kaha tha ke 1948 mein aalmi idaara sehat ke qiyam ke baad ye sab se ahem ijlaas hoga. –YTN STAFF