Wednesday, April 24, 2024
HomeTrending NewsAmerica mein Trump Death Clock nasb

America mein Trump Death Clock nasb

New York: America mein coronavirus se halaktin 80 hazaar se badh gayi hain jabkay mutasireen ki tadaad 13 lakh se ziyada hai. Khabar rasan idaray AFP ke mutabiq guzashta 24 ghantoun ke douran America mein virus se mazeed 830 afraad halaak ho gaye hain. Johns Hopkins University ke adaad-o-shumar ke mutabiq halaktin 80 hazaar 352 hogayi hain. Peer ko 830 afraad halaak huve jabkay itwaar ko virus ka shikaar ho kar mout ke mun mein jaanay waloun ki tadaad 776 thi.

Is douran New York ke Times square mein ek naya Billboard nasb kiya gaya hai jis par America mein honay wali halakatoun ki wo tadaad batayi ja rahi hai jo Billboard ke takhleeqkar ke mutabiq sadar Trump ke bar waqat iqdaam se nah hotein. AFP ke mutabiq is Billboard ko Trump Death Clock ka naam diya gaya hai. Billboard ke takhleeqkar filmmaker Eugene Jarecki hain jinhoun neh ye Clock Times Square ki ek building ki chhat par nasb kiya hai jo coronavirus ke douran khaali padi hai.

Peer ko is Clock par 80 hazaar halakatoun mein se 48 hazaar amwaat aisi batayi ja rahi theen jin ki jaanen takhleeqkar ke mutabiq sadar Trump ke bar waqat iqdamaat se bachaai ja sakti theen. Clock is mafroozay par chal raha hai ke Trump intizamia agar bar waqat Social Distancing aur Schools ko band karne ke ehkamaat jari karti to ab tak honay wali amwaat mein se 60 feesad kam hotein. Clock laganay walay Eugene Jarecki ne apne Billboard par wazahat ki hai ke agar 9 March ko Lockdown kiya jata to ziyada amwaat se bacha ja sakta tha. Doosri janib Americi sadar Trump neh kaha hai ke coronavirus se poori duniya mein loog mar rahay hain aur ye sawal China se poocha jana chahiye. –YTN STAFF