Friday, July 4, 2025
HomeJurmAmerica mein hijack kya gaya tayyarah gir kar tabah

America mein hijack kya gaya tayyarah gir kar tabah

Americi shahar Seattle ke Sea-Tac Airport se baghair ijazat uraya jaany wala Commercial tayyarah Katron island mein gir kar tabah ho gaya. media reports ke mutabiq tayyaray ki ‘chori’ ki report raat 8:30 bajey ke qareeb mili jabkay 15 minute baad hi Katron island ke qareeb se dhuwen ke baadal uthaty hue dekhe gaye. Do Americi ladaka tayyaray F15 ney bhi baghair ijazat udne walay tayyarah ka taqub shuru kya, taham is se qabal hi woh gir kar tabah ho gaya. Seen hawalay se Sea-Tac Airport ney apne twitter paighaam mein likha, ‘aik Airline ke mulazim ney baghair ijazat Sea-Tac airport se aik tayyarah udaya, jis mein koi musafir nahi tha, jo girkar tabah ho gaya hai jabkay Airport par mamool ka operation bahaal kar diya gaya hai.’ Fizaya Company ney apne twitter pegham mein likha, ‘hum Horizan Air Q 400 tayyarah ke baghair ijazat udaaye jaany ke waqeye se aagah hain, lekin is mein koi musafir nahi tha.’ Zaraye ke mutabiq hijacker ney Katron jazeeray par kayi chakkar lagaye aur mukhtalif kartab dekhata raha. Is douran tayyarah kabhi oopar kabhi neechay aata rhaa aur kabhi qalabazyan bhi lein jis ke baad woh Katron jazeeray mein hi gir kar tabah hogaya. Piaris County Police ke hukkaam ke mutabiq tayyarah ko aghwa karne wala Airlines ka mechanic tha jis ki umar 29 baras thi,Jo fiza mein tayyarah ke sath stunts karte hue ya phir jahaaz udane ke tareeqon se la ilmi ki bana par, jahaz ko crash kargaya. Ibtidayi tehqiqaat ke mutabiq tayyarah girnay ki wajah pilot ki jahaaz udaane ke tareeqon se la ilmi aur fiza mein kartab dikhnana ho sakti hai.