Saturday, April 20, 2024
HomeSliderAmerica may coronavirus se ek din may sab se ziyada amwaat record...

America may coronavirus se ek din may sab se ziyada amwaat record hui

New York: Jummerat aur Jumma ki Darmiyani shab 1,321 Coronavirus ki mout ke saath, America may ek he din may ab tak ki sab se ziyada coronvirus marz may mubtala amwaat record huein.

Worldmeters.com website ke mutabiq, Is muddat ke dauran americi amwaat ke majmui tedaad 6,071 se badh ka 7,392 hogayi, jo corona ki adad-wo-shumaar ka pata lagat hai, jabke tasdeeq shuda cases ki taadad 2,44,877 se badh kar 2,77,161 hogayi.

Isi arsey ke dauran aalami satah per tasdeeq shuda Corona cases ki majmuee tedaad 83,247 izafe se 1,015 se 1,098 hogayi, aur amwaat 5,979 izaafe se 53,172 se badh kar 59,151 hogayi.

France 24 media ke mutabiq, Sab se ziyada Coronavirus ki amwaat ka sabeqa record Italy ka tha, jahan 27 march ko is virus ki wajah se 969 afraad halak hogaye the.

New York May Jumma ke roz sab se ziyada COVID-19 ke cases record hue, jin may worldmeters.com ke mutabiq jummerat se 10,423 ka izaafa hua hai. Jumla amwaat 680 izafe se 3,218 hogayi hai jo America may amwaat ke tadaad nisf hai.

Italy, jo Coronavirus ki amwaat may sab se ziyada amwat record ki gayi, Jumme ke roz marne waloun ke tedaad 766 se badh kar 14,681 hogayi, jabke Worldmeters.com ke mutabiq spain may 850 se 11,198 tak izaafa record kiya gaya.

China Jahan se Coronavirus wabai beemari shuru hui hai aur ab is me tezi aarahi hai, Jumma ke roz Covid-19 se majmui taur per sirf 3,322 amwat hui, jis may se 4 amwaat ka izafa hua. –YTNSTAFF