Washington : American sadar Donald Trump ney Iran ko khabardaar karte hue kaha hai ke agar woh apne johri programme ke tehat afzodah uranium ki had ko paar karta hai to usay sangeen nataij ka saamna karna padh sakta hai. Trump ney Iran ko afzodah uranium ki had paar nahi karne ki dhamki di hai. Trump ney kaha Iran aag se khel raha hai. qabal azeen bain ul aqwami atomi tawanai agency ( IATA ) ke director general ney Iran ke 300 kilogram ki afzodah uranium ki had paar karne ki tasdeeq ki thi .
Qabil-e-ghour hai ke khaleej Oman mein kuch dinon pehlay ab naye Hurmez ke qareeb do tail tankers mein dhamakay ke waqea aur Iran ki taraf se America ke khufia drone tayyarah ko maar giranay ke baad se dono mumalik ke darmiyan kasheedgi urooj par pohanch gayi hai. Iran ney 8 May ko bain ul aqwami johri muahiday ke kuch daf-aat se alag honay ka aelaan kiya tha jiske baad se is muahiday par ghair yaqeeni soorat-e-haal ke baadal hain. Qabil-e-zikar hai ke 2015 mein Iran ney America , China, Russia, Germany , France aur Britain ke sath ek muahiday par dastakhat kia tha. muahiday ke tehat Iran ney is par aed iqtisadi pabandion ko hataane ke badlay apne johri programme ko mehdood karne par ittafaq ka izhaar kiya tha.
American sadar Donald Trump ney afzodah uranium ki had ko badhaane ke Iran ke faisla ke pas manzar mein France ke saddar Emmanuel Macron se guft wo shaneed ki hai. White House ki janib se jari ek bayan ke mutabiq sadar Donald Trump ney France ke sadar se Iran ke maamla par tabadlah khayaal kiya. dono rehnumao ney johri muahiday ki mushtarqa karwai Laiha amal ( JCPA) ke tehat Iran ki afzodah uranium ki had ko badhaane ke faislay par tabadlah khayaal kiya . –YTN STAFF