Sunday, May 19, 2024
HomeLatest NewsAmerica ki dhamkiyan be-asr, Turkey ko S-400 faraham

America ki dhamkiyan be-asr, Turkey ko S-400 faraham

Istanbul : Turkey ko America ki dhamkiyoun ke bawajood Rusi sakhta difai nizaam S-400 ki pehli khaip mousool hogayi jis ke baad washington se kasheedgi aur pabandiyan aed kiye jaaane ka imkaan hai. tafseelaat ke mutabiq turkey ke wazeer difaa ney kaha kay S-400 fazai difai nizaam ki pehli khaip ankara ke shumal maghrib mein waqay Murted Airbase pohnchadi gayi hai. Turkey ke wazeer difaa ney kaha ke aaj 3 cargo tayyaray pohanche hain unhoun ney mazeed kaha ke aindah chand dinoun mein mazeed khaip mousool hogi. is hawalay se turk nashriyati idaroun ney roosi air force ke cargo tayyaron AN.124 ke airbus par off load honay ki footage bhi jari ki.

Roos ki taas news agency ke mutabiq military zaraye ney kaha ke turkey ko S-400 difai nizaam ki doosri khaip ba zareay jahaaz jald mousool hogi aur 120 missilon par mushtamil teesri khaip behri jahaaz ke zareya garmiyon ke ekhtataam mein bheje jaye gi. zaraye ney yeh bhi kaha ke 20 turk ohdedaroun ney May  June mein roos se tarbiyat haasil ki aur mazeed 80 turk ohdedar S-400 difai nizaam ka istemaal seekhnay ke liye tarbiyat haasil karenge.

Is hawalay se America ke qaim maqam secretary difaa mark Esper ney kaha ke is maslay par washington ka muaqqaf tabdeel nahi hua. unhon ney kaha ke America ney Ankara par pabandiyan aed karne ki dhamki di hai aur roos ka difai sazu samaan Nato ke difai nizaam ke muqablay par poora nahi utartaa. Mark Esper ney kaha ke hum turkey ko S-400 missile mousool honay se aagah hain aur f.35 se mutaliq hamara muaqqaf tabdeel nahi hua, is hawalay se turk hum mansab se baat cheet karoonga. khayaal rahay ke June mein turk sadar Recep Tayyab Erdogan ney kaha tha ke America ki dhamkion ke bawajood woh roos ke sath S-400 missile ke muahiday se peechay nahi hatinge.

Is se qabal pentagon ke aala ohdedar ney kaha tha ke agar turkey ney roos se anti air craft weapon system kharednay ka mansoobah barqarar rakha to is ke mushtarqa f.35 fighter programme aur Nato ke sath is ke taawun ke nataij khatarnaak honge. wazeh rahay ke America ki qaim maqam secretary difaa baraye bain ul aqwami security umoor catherine wheel barger ney kaha ke S-400 ki kharidari turkey ki Nato ke sath kaam karne ki qabliyat ko nuqsaan pohnchayegi.

Turkey ney f.35 tayyaray par S-400 ke asraat ki jaanch ke liye dono mumalik ko working group tashkeel dainay ki tajweez di hai, jis se mutaliq kaha gaya tha ke washington ney yeh tajweez Manzoor karli thi. Erdogan ney kaha tha ke unhon ney washington ko mutala kia tha ke Ankara  missile kharednay ke liye iqdamaat sirf uss soorat mein kare ga ke agar is ki sharait roos jitni misbet hongi. bad qismati se hamein roos se S-400 ki tarhan America ki janib se patryat missile se mutaliq koi misbet tajweez nahi mili. –YTN STAFF