Saturday, May 18, 2024
HomeSliderAmerica ke Cyber hamlay Iran ney mustard kar diye

America ke Cyber hamlay Iran ney mustard kar diye

Tehran: America aur Iran ke darmiyan kasheedgi ab Cyber hamlon ka rukh ikhtiyar kar rahi hai jahan America ney daawa kiya hai ke is ney Iran par Cyber hamla kiya hai lekin doosri janib Iran ne America ke is daawa ko mustard kardiya hai. Tehran ney kaha hai ke Iran par dushman ka koi bhi cyber hamla kamiyaab nahi huwa. Tafseelaat ke mutabiq Iran ke wazeer it-tila-aat o muwasilat Javad azari Jahromi ney twitt karte huwe kaha unhon ney sakht koshish ki lekin aik bhi hamla kamiyaab nahi huwa. Media ney poocha ke Iran ke khilaaf Cyber hamlon mein kitni sadaqat hai jis par Javad Azari Jahromi ney kaha gujista baras hum ney qaumi fire wall se 33 million hamlay nakaam banayen hain. Javad Azari Jahromi ney un hamlon ko cyber dehshat gardi kaha hai. Yeh muaqqaf aisay waqt par samnry aaya hai jab guzishta roz Amrici akhbaron ney daawa kiya tha ke America ke cyber command ki janib se Iran ke missile control system aur jasoosi net work par cyber hamlay kiye gay hain. Amrici akhbar Washington post ke mutabiq saddar Donald Trump ney drone giraye janay ke baad Iran ke khilaaf jawabi fouji karwai ka hukum to wapas le liya tha taham Amrici cyber Command ko khufia tor par Iran mein cyber hamlon ka ikhtiyar diya.

Amrici media ka daawa hai ke Amrici Cyber command ney yeh online hamlay Irani intelligence group ke khilaaf kiye jis ke barey mein Amrici hukkaam yeh keh rahay they ke is ney haliya hafton mein khileej mein tail ke tankron par hamlay kiye they. Washington post ke mutabiq Amrici cyber command ke ohdedaron ney un hamlon ki tayari mein agar mahino se nahi to kayi hafton se zaroor masroof they. Akhbar ke mutabiq un ko is muamlay se mutaliq maloomat rakhney walay 2 afraad ney bataya ke khaleej Aman mein tail ke do tankron par hamlon ke baad yeh cyber hamlay Amrici mehakma difaa pontagan ki tajveer par kiye gay. Doosri janib New York Times ney kaha hai America ney wohi harba istemaal kiya jo pehlay Iran karta raha hai. White House aur Cyber command ney un reporton par tabsarah karne se inkaar kar diya taham wizarat difaa ki tarjuman ney aitraaf kiya hai ke cyber hamlay hamari policy ka hissa hain. Yeh security karwai ka atot hissa hain. Khufia idaron ki sar garmion aur Cyber skimon ke barey mein koi guftagu nahi karta.

Washington post ke mutabiq haliya barson ke douran Cyber sar garmion mein izafah huwa hai. Irani hackers ney khaleej mein mojood Amrici behri bairay ke jahazoo par nasb computer system ko lock karne ki koshish bhi ki. Amrici channel ABC ke mutabiq irani hackers ney America ke bunyadi dhanchay aur Amrici hukkam ke khilaaf cyber hamlon mein izafah kar diya hai. Doosri janib Amrici saddar Donald Trump ney apne haliya bayan mein kaha hai ke Iran par mazeed badi pabandiyan lagai jayen gi. Iran Johri programme nahi chala sakta.

Trump ney twit karte huwe likha hai ke mein is din ke intzaar mein hon jab Iran se pabandiyan utha li jayen gi aur woh aik behtar aur khushaal Mulk ban jaye ga. Yeh jitna jaldi ho itna hi behtar hai. Amrici saddar ne White House mein sahafion se baat karte huwe yeh bhi kaha ke Iran ke khilaaf fouji karwai ka imkaan ta haal mojood hai. Umeed ka izhaar kiya ke Iran hooshiyar hai aur usay apne logon ki parwah hai. Saddar Trump ney kaha Iran Ameer Mulk ban sakta hai agar woh apna nuclear programme chode dey. Unhon ney sahafion ko bataya ke woh Iran ke sath aik naya aaghaz chahtay hain. Yaad rahay ke Amrici channel NBC ke chak todey ke sath meet the press programme mein sadder Trump ney guzishta roz kaha tha ke America Iran ke sath jung nahi chahta lekin agar jung huwi to Iran ka naam o nishaan mit jaye ga lekin woh aisa nahi karna chahtay hain.