Thursday, May 16, 2024
HomeSliderAmerica ka Taliban se Doha mein muzakrati ijlaas

America ka Taliban se Doha mein muzakrati ijlaas

Doha : America aur Afghan taliban ke darmiyan Qatar ke dar-ul-hakoomat Doha mein aman muzakraat ke naveen marhalay mein bazahir mahol kuch tabdeel ho gaya hai. ek din qabal tak lag raha tha jaisay kisi bhi lamhay aman moaheda tey hojayega jab ke ek din baad is silsilay mein kisi fareeq ki janib se jaldi nazar nahi aayi.

Tajzia nigaroun ke bakhol Al Qaeda se qata talluq ki shart taliban ke liye kadvi goli saabit horahi hai jab ke America chahta hai ke taliban har soorat yeh shart qubool Karen ke woh Al Qaeda , daesh aur deegar bain ul aqwami jihadio ko America ke khilaaf Afghanistan ki sarzamen istemaal nahi karne denge.

Doha aman muzakraat ke douran jo khabrain mili hain is mein wazeh hota hai ke muzakraat ka mahol mangal ki nisbat chaharshambe ko badla badla nazar aaya. mangal ko lag raha tha ke America ke khusoosi numainday zulme khalil zaad kisi bhi lamhay Afghanistan rawana hojayenge jahan woh taliban ke sath tey panay wali sharait wo muahiday par Afghanistan ki hukoomat aur itihadiyon ko etemaad mein lenge, lekin aisa nah hosaka. agarchay tawaqqo to ab bhi mojood hai ke khalil zaad koi moahida tey karne mein kamyaab hojayenge lekin Chaharshambe ko unke alfaaz mein fariqain ke muzakraat karon ka woh mood nazar nahi aaya jo mangal ke din tha. bazahir lagta hai ke kuch mamlaat bilkhushoos Al Qaeda ke sath taliban ka talluq mushkil paeda kar raha hai.

Kamraan bukhari center for global policy se wabsta senior fellow hain. woh George Washington university mein inteha pasandi se mutaliq programme se bhi munsalik hain. media ke sath guftagu karte hue kaha ke inhen is baat par haerat nahi hai muzakraat ki raftaar aur mizaaj badal raha hai. Afghan taliban kabhi bhi nahi chahtay ke Al Qaeda ke sath woh qata talluq karen. mustaqbil ki mumkina morcha bandi mein jahan inhen ek taraf daesh ka saamna hoga aur doosri taraf jungi sardaro ka, woh Al Qaeda ko apni taaqat ka hissa rakhna chahainge. Afghan umoor par gehri nazar rakhnay walay senior sahafi aur tajzia nigaar taher Khan ne un halaat par apne khayalat mein kaha hai ke agarchay mazakraat kisi muahiday ki taraf badhtay nazar atay hain lekin yeh dekhna abhi baqi hai ke aaya taliban Al Qaeda ke barey mein koi yaqeen dehani karate hain ke is group ko Afghanistan ki sarzamen istemaal nahi karne di jayegi.

Woh bhi aisay waqt mein jab taliban shoora ki hidaayat par unke muzakraat karon ne Al Qaeda ke khilaaf America ki khwahish ke bawajood muzamati bayan jari nahi kya. tajzia nigaar America ke sadar Donald Trump aur senior republican senator Lindsey graham ke bayanaat ko bhi ahmiyat day rahay hain. sadar Trump ne kaha hai ke inhen Afghanistan se apni afwaj ko nikaalte mein koi jaldi nahi hai, jab ke senator Lindsey graham ne TV ek interview mein sadar Trump ko tajweez di thi ke woh Afghanistan mein America afwaj ki tadaad 8 hazaar 600 se kam nah karen.

Unke bakhol taliban ki nato niyat hai aur na ahliat ke woh Afghanistan mein America ke mafadaat ka tahaffuz karen. Lindsey graham senate ki judiciary committee ke sarbarah bhi hain. tajzia nigaron ke mutabiq yeh bayanaat bhi badalte hue mahol ka ishara dete hain. Kamraan bukhari ne yeh bhi wazeh kardiya hai ke Lindsey graham aur deegar policy saaz chahtay hain ke taliban ke sath muzakraat ke maiz par kamzoree ke sath nahi balkay taaqat ke sath shirkat ki jaye. unke bakhol agar muzakraat kamyaab nahi hotay to hona to yeh chahiye ke America bharpoor taaqat ke istemaal se mukhalif quwatoon ko muzakraat ki meiz par anay aur kisi muahiday par majboor karday lekin iske imkanaat kam nazar atay hain. aur Afghanistan mein soorat-e-haal aisi hi jari rahegi. –YTN STAFF