Thursday, May 2, 2024
HomeSliderAmerica. Iran kasheedgi, Teesri aalmi jung ke baadal

America. Iran kasheedgi, Teesri aalmi jung ke baadal

New York: Kattar hareef tasweer ke jaaney walay America aur Iran ke darmain halaat phir sakht kasheeda ho rahay hain jis ke baad mahireen ne apne khayalat aur tabsroun mein is kasheedgi ko teesray aalmi jung jaisay alfaaz daine shuru kardiye hain.

Iraq ke dar-ul-hukoomat Baghdad mein Americi hamlay ke nateejay mein Irani general Qasim Soleimani  ki halakat ke baad mubasireen ne kaha hai ke mashriq wasti mein kasheedgi mein izafay aur Iran aur America ke darmain mumkina jung ke asraat namodaar hone lagey hain.

Aalmi umoor ke mahireen ne mashriq wasti ke khittay ki naazuk sorat e haal ke tanazur mein duniya par teesri aalmi jung ke baadal ka ishara zaher kiya hai. Is hawalay se social media par khoob behas ki ja rahi hai aur zahir ki ja rahi hain ke is Americi iqdaam ke baad mashriq wasti mein mumkina jung ke khadshaat badh jayenge aur ye kasheedgi teesri aalmi jung ka pesh khaima bhi saabit hosakti hai.

Francesi media ne Roos ke kirdaar par baat karte hue kaha ke haliya barsoun mein Roos ka khittay mein kirdaar badha hai, Khososan Shaam mein Roos ne apne ittihadi Iran kay sath milkar Americi mafadaat ko kaafi zad pohanchai aur mustaqbil qareeb mein Roos ka kirdaar ahem hojayega, Teesri aalmi jung ka khadsha Roos ki taaqat ke sath aur badha hai.

Americi media ke mutabiq Baghdad waqea ke baad aalmi mubasireen ne apne rad-e-amal mein kaha ke is waqt poori duniya ki tavajja Iraq par markooz hai aur sab ye jan-ne ke liye be chain hain ke jis mulk ki sar zameen par ye hamla huva hai is ka aani wale dinoun mein rad-e-amal kiya hoga, Agar Iraq ne Irani intizamia khokhla maidan muhayya kiya to Iran bharpor karwayee ke muaqqaf mein hoga.

Sath hi mahireen ki janib se is khadshay ka izhaar bhi kiya ja raha hai ke agar America ke Europi itihadiyoun ne America ki is karwai ki mukhalifat ki aur Iran kay sath johri muahiday par karband rahay to America ke liye mushkilaat peda hosakti hain.

Mashriq wasti par gehri nazar rakhne walay tajzia nigaar aur musannif Wali Naser ke mutabiq general sulemani khittay mein kaafi maqbool they aur un ki halakat ke baad Iran par jawabi karwai karne ke liye kaafi dabao huga. Kitaab The Shedder War ke musannif aur ek kalam nigaar ne kaha hai ke agar America aur Iran haliya kasheedgi ke baais aamne samne atay hain to ye jung America ke liye kisi bhi doosri jung se mukhtalif hogi, Iran aur uskay himayat yafta giroh Americi tansibat, Security dastoun, Pipe lines par hamloun samait cyber War ki salahiyat bhi rakhtay hain. –YTN STAFF