Friday, April 19, 2024
HomeHyderabadAmeerpet-L B Nagar route par Metro Rail ka aaghaz

Ameerpet-L B Nagar route par Metro Rail ka aaghaz

Passengers 6:00 bajey shaam se is route par train mein safar kar saken ge. Metro Services ka aaghaz karne ke baad Governor ne Minister Municipal Administration & Urban Development Mr. K. T. Rama Rao ke sath L B Nagar taq train mein safar kya.

Hyderabad. Governor Telangana & Andhra Pradesh Mr. E. S. L. Narsimhan ne Ameerpet interchange station se Ameerpet. L B Nagar route par Metro Services  ko jhandi dikhayi. Passengers aaj shaam 6:00 bajey se iss route par Metro Train mein safar kar saken ge. Governor Mr. Narsimhan ne Train ko jhandi dikhaane ke baad Minister Municipal Administration & Urban Development Mr. K. T. Rama Rao, Rukn e Parliament wo sabiq markazi Wazeer Mr. Bandaru Dattariya aur deegar ke hamrah L. B. Nagar Station tak Metro Train ke safar se mahzooz hue. Iss mauqa par khitaab karte hue Governor ne shahrion se appeal ki ke woh ziyada se ziyada Metro Train ka istemaal karen is se na sirf aloodgi mein kami aeye gi balkay eendhan ki bhi bachat hogi aur waqt ki bhi bachat hogi. Mr. Narsimhan ne kaha ke mein ne Hitect City route ke liye 15th December ki tareekh muqarrar ki thi. Wazeer baldi nazm o nasq wo shahri taraqiat Mr. K. T. Rama Rao ne kaha ke Hyderabad Metro, Mulk mein sab se behtar hai. Unhon ne kaha ke darasal iss route par Metro Train ka aaghaz guzashta mah hi hona chahiye tha taham commissionaire Metro Rail safety clearance mein takheer ki wajah se ab iss route par Train ka aaghaz kya ja raha hai. Baad azaan Governor ne Wazeer aur deegar senior ohdedaron ke hamrah Khairatabad Station se cycle istemaal karte hue Raj Bhavan wapas lautay.