Hyderabad: Telangana State Road Transport Corporation ( TSRTC ) apni maali hesiyat ko behtar bananay ke liye Fuel Centers ke qiyam par tavajja aur riyasat bhar mein apni khaali jaghon par baday mansoobay bananay ke liye tijarti aamdani par nigah markooz karli hai taakay lockdown se Buses par pabandi aur is se honay walay nuqsanaat ki pabajayi ki jasakay. Tafseelaat ke mutabiq RTC ne bahami ittafaq raye se mutaliq sharait-o-zawabit par Fuel Centers ke qiyam ke liye HPCL aur IOCL ke sath ek moahida tey kiya hai.
Ibtidayi marhalay mein RTC ne 92 fuel out lets bananay ka iradah zahir kiya hai jo khulay aam Tenders ke zareya muqarrar kardah khidmaat faraham karne walay Greater Hyderabad, Hyderabad aur Karimnagar zone mein chalaye jayen ge. Pehlay hi Jangaon, Birkur mein Fuel Centers qaim kiye ja chukay hain aur is terhan ki mazeed Centers ko chalanay ke liye TSRTC tayari kar rahi hai. 92 Fuel outlets mein se 45 Karimnagar zone, 41 Hyderabad zone mein aur 6 azeem tar Hyderabad zone mein qaim kiye jayen ge.
TSRTC ohdedaron ke mutabiq Corporation license Fees aur dealer margin ki taraf har petrol Outlet se dhai lakh se 3 lakh rupay mahana munafe haasil kere gi. Fuel Outlet ke kaam ke liye Corporation ney 3 zones ke liye khulay tenders ke zariye zone Vice service faraham karne walay ko muqarrar kiya.
Zaraye ney kaha hai ke jab ek martaba 92 Fuel outlets khul jatay hain to hamein mahana taqreeban 27 crore rupay ke munafe haasil honay lagey ga jis se shoba ki muashi haalat ko mustahkam karne mein madad miley gi. Ek ohdedar ney kaha hai ke 39 Fuel Centers ke liye matlooba NOC haasil karne ki zaroorat hai jo hukoomat mein mukhtalif marahil par zair iltiwa hain aur ek martaba jab yeh Outlet khud RTC shuru kardete hain to maheena ki jumla mutawaqqa aamdani 83.58 lakh rupay hojaye gi.
Ek ohdedar ney mazeed kaha ke Hanamkonda, Mehboobabad, Jangaon, Birkur aur Asifabad mein Fuel Centers lockdown ki wajah se be rozgaar honay walay RTC mulazimeen ki madad se chalaye jayen ge. Is ke ilawa parcel, Courier aur Cargo khidmaat rozana 10 lakh rupay ki aamdani faraham kar rahay hain. Kuch haftay qabal RTC ney un khidmaat ke zareya 7 lakh rupay rozana ki aamdani ki thi jis se mahana aamdani 2 crore rupay se ziyada hojati hai.