Saturday, May 18, 2024
HomeHyderabadAmaravati mein sarmaya karoun ki Adam dilchaspi se Hyderabad ko faida

Amaravati mein sarmaya karoun ki Adam dilchaspi se Hyderabad ko faida

Hyderabad: YSRCP hukoomat anay ke baad riyasat Andhra pradesh ke sadar muqam Amaravati mein tajir apni sarmaya kaari ko mashgool karne mein tazabzub ka shikaar hain kyunkay hukoomat ki janib se sarmaya kaari ke mutaliq policy wazahat nahi ho pa rahi hai aisay halaat mein jahan ek janib andhra pradesh ke saddar maqam Amaravati ke mustaqbil ki taraqqi par sawalia nishaan laga hua hai to doosri janib padosi  riyasat Telangana ke sadar muqam Hyderabad sarmaya karon ki tavajja apni janib mabzol karwane mein kamyaab ho raha hai kyunkay Amaravati ke bar-aks hyderabad mein pehlay se hi ki multi national companian mojood hain jabkay hyderabad mein Amaravati ke bar aks ziyada behtar infrastructure mojood hai. sabiq cheif minister Chandrababu naidu  ke maqam par Y S jagan mohan  reddy riyasat Andhra pradesh ke naye chief minister banay hain jis ke baad world bank aur asian infrastructure investment bank ( AIIB )ne Amaravati se apni tavajja hata li hai, jiske baad Andhra prdesh ke naye sadar maqam Amaravati ki taraqqi par sawalia nishaan lag chuka hai jis ki wajah se sarmaya karon, sanatkaron aur real estate ke tajir Amaravati mein apna paisa mashgool karne ki bajaye hyderabad ki taraf apni tavajja markooz kar chuke hain.

Andhra Pradesh ke sadar maqam Amaravati ki taraqqi par sawalia nishaan lagnay ke baad hyderabad ki taraqqi mein mazeed tezi ki umeed ki ja rahi hai. hyderabad mein chunkay pehlay se hi kayi multi national companiyon ki mojoodgi aur behtar infrastructure ke alawa mojooda hukoomat ki doosri miyad nawabon ke shehar ke haq mein behtar saabit horahee hai. market ke mahireen ne kaha hai ke kisi riyasat mein jab hukoomat badalti hai to is ke asraat sarmaya kaari par bhi padte hain. Babu ne apne daur-e-hukoomat mein mutahidda AP ke saddar maqam Hyderabad mein multi national companiyon aur cyberabad jaise taraqiyati umoor anjaam diye un ki qayadat mein phir ek martaba Amaravati ko taraqqi milnay ki umeed ki jarahi thi lekin haliya assembly intikhabaat mein Babu ki jamaat ko shikast aur Jagan Mohan reddy ke chief minister ban’nay ke baad Amaravati ki taraqqi mein sarmaya karon ka mohtaat rawayya is waqt mauzo behas hai.

Amaravati mein sarmaya kaari ke liye badey tijarti gharane hukoomat ki janib se tijarti policies ko wazeh karne ka intzaar kar rahay hain jis ke baad hi woh Amaravati mein apni dilchaspi zahir kar satke hain, lehaza un halaat mein hyderabad mein sarmaya kaari aur real state ke mazeed behtari ke imkanaat hain. hyderabad mein salana 25 taa 30 hazaar makanaat aur dafatir ke unit farokht kiye jarahay hain is ke paish-e-nazar AP mein sabiq hukoomat ne har saal ek laakh naye makanaat ka mansoobah banaya jo ke ek behtar mansoobah qarar diya ja raha tha lekin jab tak naye sarmaya car, sanat car aur samaji infrastructure behtar honay ke ilawa mulazimaton ke mawaqay dastyab nahi honge awam naye shehar mein makanaat ki kharidari ya kirayon par makanaat haasil karte hue muntaqil honay ko tarjeeh nahi dete. yahi wajah hai ke 20 Maroof builders ne andhra pradesh ke saddar maqam Amaravati mein project ka aaghaz kardiya tha lekin hanooz inhen koi wazeh kamyabi haasil nahi hui hai. iske alawa nai hukoomat ki tashkeel ke baad sarmaya car intzaar karo aur dekho ki policy ikhtiyar kar chukay hain. doosri janib AP ke awam ko hyderabad koi ghair marof maqam nahi hai, yahi wajah hai ke sarmaya car mojooda project ki takmeel ke alawa naye project ki shuruvaat mein bhi tazabzub ka shikaar nahi hain.

Naye projects ke aaghaz aur zair-e-takmeel projects ki jald az jald takmeel ki wajah se hyderabad mein makanaat aur dafatir ki maang mein izafah dekha ja raha hai aur khaas kar un maqamat par jahan IT companion aur deegar project ki aamad mutawaqqa hai, wahan zameenat ki qeematein badh rahi hain. hyderabad ke IT shobay ke ilaaqon mein arazyat ki qeematein aasman se batein kar rahi hain kyunkay un ilaaqon mein ek murabba gaz zameen ek laakh se zayed ho chuki hai. Gachibowli , Hitec city, ke alawa maghribi hyderabad ke ilaaqon mein arazyat ki qeematein aasman se batein kar rahi hain. is ke alawa yeh asraat maghribi aur shumali hyderabad ke ilaaqon mein bhi dekhe jarahay hain . –YTN STAFF