Monday, May 20, 2024
HomeIndiaAllahabad nami 4 Railway Stations ke naam bhi tabdeel kardiye gaye

Allahabad nami 4 Railway Stations ke naam bhi tabdeel kardiye gaye

Allahabad: Indian Railway ne Uttar Pradesh ke zila Allahabad ke 4 Railway Stations ka naam tabdeel kardiya hai. Tafseelaat ke mutabiq ab Allahabad Junction Prayagraj junction ke naam se jana jaye ga. Isi terhan se Allahabad mein waqay Allahabad city ab Pragyaraj Ram Bagh, Allahabad Chheoki ab Pragyaraj Chheoki, Aur Prayagghat Pragyaraj Sangam ke naam se jaaney jayen ge.

Markazi wazeer Piyush Goyal ne apne ek Twit mein likha markazi aur reyasti hukoomat ne Pragyaraj mein waqay 4 Stations, Allahabad Junction, Allahabad City, Allahabad Chheoki aur Pragyagghat Stations ka naam tabdeel karne ka faisla kiya hai aur un ka naam ab Pragyaraj se shuru hoga. Hukoomat ka ye faisla shehar ki puranay shanakht ko wapas laaye ga.

Is se qabal 18 October 2018 ko Uttar Pradesh hukoomat ne 2019 Kumbh Mela se ain qabal Allahabad ka naam tabdeel kar ke Pragyaraj kardiya tha is ke baad January 2019 mein markazi hukoomat ne usay manzoori faraham kar di thi. Taham Station ka naam hukoomat ne zila ka naam tabdeel karne ke daidh saal baad tabdeel kiya hai. -YTN STAFF