Friday, May 17, 2024
HomeIndiaAllahabad HC ne Dr Kafeel Khan ki qaid ko diya ghair qanooni...

Allahabad HC ne Dr Kafeel Khan ki qaid ko diya ghair qanooni qarar, Jald reha karne ki hukoomat ko di hidaayat

Mangal ke rooz High Court ney Dr Kafeel Khan jo qaumi salamti Act 1980 ki sakht daf-aat ke tehat zair-e-herasat hain, Ko di ek badi raahat, Aur reyasti hukoomat se mutalba kiya ke woh usay fori reha kere.
Gorakhpur ke muqeem Doctor Kafeel Khan, December mein Aligarh Muslim University mein shehriat tarmeemi qanoon ke khilaaf ehtijaj ke douran ishtial angaiz tabsaray karne ke ilzaam mein 29 January se zair-e-herasat hain.

Allahabad High Court ney mushahida kiya ke Dr Kafeel Khan ke khilaaf ilzamaat ki towseeq ki gayi hai, Kyunkay un ki mobayyana tor par ishtial angaiz taqreer mein kisi qisam ki koi saboot nahi hai jis ney kisi bhi baradri ke khilaaf nafrat peda ki ya tashadud ko farogh diya.

Dr Khan ki walida ke zariye dair ki jaaney wali ek Petition par High Court ney yeh hukum jari kiya, Jis mein yeh ilzaam lagaya hai ke un ke betay ko ghair qanooni tour par par hirasat mein liya gaya hai.

Chief Justice Govind Mathur  aur Justice  Saumitra Dayal Singh par mushtamil division bench ney Dr Kafeel Khan ke khilaaf NSA ke ilzamaat ko mustard kar diya hai, Jo is waqt Mathura Jail mein qaid hai.
December 13 ko dair ki gayi FIR mein kaha gaya tha ke mister Khan nay University mein par aman mahol ko nakaam bananay aur firqa waranah hum ahangi ko kharab karne ki koshish ki thi, Taham riyasat Uttar Pradesh ki tasdeeq ke mutabiq Dr Khan ke khilaaf NSA Act ke tehat zilai magistrate, Aligarh ke zariye 13 Feb 2020 ko nazar band karne ka hukum manzoor karwaya tha.

Dr Kafeel Khan ki nazar bandi ki muddat mein towsee ko bhi ghair qanooni qarar diya gaya hai, NSA ke ehkamaat ko ek taraf rakh diya gaya hai, Kyunkay adalat is nateejay par pohanchi ke Dr Khan ko un par ayed ilzamaat ke khilaaf numaindagi karne ka “mouqa mo-asar” nahi diya gaya tha.

Adalat ny kaha ke CAA mukhalif muzahiron ke darmain 13 December 2019 ko Aligarh Muslim University mein Dr Kafeel Khan ki taqreer jis ki wajah se woh qaumi salamti Act ki sakht daf-aat ke tehat un ki giraftari huvi aur is ke baad inhen nazar band kar diya tha yeh inkishaaf nahi huwa hai ke Dr Khan ny koi nafrat ya tashadud ko farogh dainay ki koshish ki hai.

Bench ne kaha ” yaqeenan speaker hukoomat ki Policies ki mukhalifat kar rahay they aur aisa karte waqt un ke zariye kuch misaal pesh ki gayi hai lekin yeh ke kahin nazar bandi ka mutalba karne walay waqeat ki akkaasi nahi hoti.

Wazeh rahay ke CA mukhalif muzahiron ke darmain, Dr Kafeel Khan ko 13 December 2019 ko Aligarh Muslim University mein ishtial angaiz taqreer karne ke ilzaam mein mein isi saal January mein Mumbai se giraftar kiya gaya tha.

Mojooda petition ko Dr Khan ki walida Nuzhat Parveen nay dair ki thi, Unhoun ney apne betay ki rihayi ke liye Supreme Court se rujoo kiya tha, Taham Chief Justice Sharad Arvind Bobde, Justice Surya Kant, Aur Bhushan Ramkrishna Gavai par mushtamil bench nay is darkhwast ko ek mushahiday ke sath nimta diya ke, Allahabad High Court is muamlay se nimatnay ke liye munasib forum hai.

Qabil-e-zikar baat yeh hai ke Dr Khan ko SJM, Aligarh ki adalat nay 10 Feb ko zamanat day di thi taham woh NSA Act ke tehat jail mein band rahay, Jis par inhen 15 feb ko Aligarh zila Magistrate nay nishana banaya tha. August 19 ke ek hukum ke tehat high court ny NSA ke tehat Dr Khan ke khilaaf karwai ka asal Record talabb kiya.

Dr Khan is waqt manzar aam par aaye, Jab 2017 mein oxygen ki farahmi nah honay ki wajah se taqreeban 6000 sher khawar bachon ki mout Gorakhpur ke Baba Raghav Das Medical College Hospital mein waqay hogayi. Ibtidayi tor par unhoun ny apni jaib se ada karkay oxygen supply ka bandobast kiya.

Bachon ko saans lainay ke liye Cylinder ka bandobast karne ke liye hero ki hesiyat se saraha jaany ke bawajood, Dr Khan ka naam defaa 409 ( sarkari mulazim ya banker merchant ya agent ke zariye aetmaad ki khilaaf warzi ) ke tehat darj 1 FIR mein naamzad kiya gaya tha, ( mujremana qatal karne ki koshish ) Aur B-120 ( mujremana saazish ) Taziyat-e-hind ki, Yeh ilzaam lagaya tha ke wo apne faraiz se ghaflat bartay hai, Jis ke nateejay mein medical oxygen ki qillat peda hogayi.

Dr Khan ko September 2017 mein giraftar kiya gaya tha aur baad azan April 2018 mein inhen reha kardiya gaya tha, Jab High Court nay Dr Khan ke khilaaf infiradi tor par tibbi ghaflat ke ilzamaat qaim karne ke liye Record par koi saboot mojood nahi paaya. Faraiz mein kami ka ilzaam ayed karte hue inhen mulazimat se bhi moattal kar diya gaya, Taham mehakmay Enquiry nay September 2019 mein inhen ilzamaat se bari kar diya tha.