Monday, May 5, 2025
HomeSermonsAllah se darny walay hi kamyaab : Al ash-Sheikh ka khutba e...

Allah se darny walay hi kamyaab : Al ash-Sheikh ka khutba e Hajj

Siyasat wo maiyshiat ko deen ke mutabiq dhaalne ki zaroorat hai. Kitab Allah ne Musalmanoon ke ittehaad par zor diya hai, makar o fraib se bachney ki hidaayat di hai, Shariat ne sood khori aur juvey ko haraam qarar diya hai, Allah pak ne apni, apne Nabi salle Allhau alehi wassalam aur apne umraa ki itaat ka hukum diya hai, un ehkamaat ka maqsad is liye diya ke Musalman ghalba haasil kar saken. Rasool Allah salle Allhau alehi wassalam ne khutba Hajj mein farmaya hai ke tumhara maal, izzat aur khoon aik dosray par haraam hain. Allah taala ne walidain, rishtay daaron aur padosion ke huqooq ada karne ka hukum diya hai, Allah pak takkabur karne walon aur shekhi khoron ko pasand nahi farmate, walidain kay saath husn e sulook aur narmi se baat karne ki hidayat ki gayi, Allah pak ne biwi se bhalai karne, insaaf karne ka hukum diya hai., Allah pak Arfa ke roz naik logon ko bakhash dete hain aur farishton mein un ka zikar karte hain, maidan Arfat mein husn akhlaq mukammal kardiye gay hain.

Masjid e Nabwi salle Allhau alehi wassalam ke Imam aur khateeb Hajj Dr. Hussein bin Abdul Aziz Al-Asheikh  ka kehna hai ke jo Allah se dartay hain darasal wohi kamyaab hain, shirk se door rehna chahiye, taqwa ikhtiyar karna chahiye. Hajj ka rukn e azam jari hai, jis ki adaigi ke liye maidan Arfat mein lakhoon aazmeen maujood hain, maidan Arfat mein waqay Masjid Nimra mein khutba Hajj dete hue Dr. Hussein bin Abdul Aziz Al-Asheikh  ka kehna hai ke Allah taala farmate hain ke sirf meri ibadat karo, meri yaad ke liye namaz qaim karo, Allah pak ne khairaat ka hukum diya hai, tamam anbiya-e karaam alehi salam ne Allah taala ka paigham pahonchaya. Unhon ne kaha ke Allah taala khud farmate hain ke unhon ne kisi ko hidayat bakhshi, kisi ko seedhay rastay se bhatka diya, ibadat ke laiq sirf Allah taala hi hain, un hi se daron, un ki hi ibadat karo, Nabi e kareem salle Allhau alehi wassalam ki layi hui Shariat ke mutabiq zindagi basar ki jaye, Allah taala ka farmaan hai ke unhon ne Nabi e kareem salle Allhau alehi wassalam ko khush khabri dainay wala banakar bheja. Khateeb e Hajj ka kehna hai ke imaan walon aur naik aamaal karne walon ko jannat ki khush khaberi di gayi, namaz woh rukan hai jo Islmam par Daleel hai, be hiyai se rokti hai, Fajar ke waqt tilawat Quran kareem afizal hai, namaz ki pabandi, zkoh ki adaigi, Nabi kareem salle Allhau alehi wassalam ki itaat ka hukum diya gaya hai. Sheikh Hussain bin Hussein bin Abdul Aziz Al-Asheikh  ne kaha ke Mohammad Mustafa Salle Allah aleh wasallam par imaan kaamil aur ahkamaat ko bar haq maanna imaan ka ahem juz hai. Islmam ki asal tasveer ahsan aamaal par hai, Allah ne wahdaniyat par yaqeen rakhnay walon se kamyabi ka wada kya hai, har tarha ki kamyabi Allah ki wahdaniyat aur Rasool Allah ki risalat mein hai, Allah taqwa ikhtyar karne walon ko pasand karta hai, logon taqwa ikhtiyar karo taakay tum Falah pao, Islmam aur Deen ki azmat ki bunyaad tauheed hai, Allah se daro aur kisi ko is ka shareek na taherao, shirk karne walay ka anjaam bura hoga, Allah ka hukum hai ke tum mujh se mohabbat karte ho to Rasool Allah salle Allhau alehi wassalam ki itaat karo. Unhon ne kaha ke Allah pak ne sahib istetaat afraad par Hajj farz kya, Nabi e kareem salle Allhau alehi wassalam ke behtareen akhlaq ka bayan farmaya hai, aaj hamein mamoolaat e zindagi guzarnay ke liye behtar akhlaq ki zaroorat hai, aap salle Allhau alehi wassalam ne khutba Hajj mein farmaya hai ke tumhara maal, izzat aur khoon aik dosray par haraam hain.
Dr. Hussein bin Abdul Aziz Al-Asheikh  ka kehna hai ke Rasool Allah salle Allhau alehi wassalam ne farmaya tum mein sab se achay woh hain jo akhlaq mein achay hain, Islmam khair, ahsaan, kharch aur sakhavat par ubharta hai, ummat Muslimah Quran pak par jama hai, aik hi qibla rukh karti hai, Allah taala farmate hain ke mere bandon se keh dijiye ke bahut hi achi baat mun se nikalo, ae imaan walon, ehad o paiman pooray karo, waday wafa karo. Islmam zulm o ziyadati ko pasand nahi karta, Musalman ko chahiye ke kisi ke sath ziyadati na kare, Nabi pak salle Allah aleh wasallam ki paish kardah akhlaqiaat kisi bhi be gunah ko nuqsaan pahonchaney se rokti hain, muashray ke aman keliye hrmslman ko koshish karni chahiye, akhlaq husna muashray ko kamyabi ki taraf le jata hai, poori duniya ko Quran pak ke mutalea ki dawat dete hain, Quran seedhay rastay ki taraf le kar jata hai. Unhon ne mazeed kaha ke Allah taala ne walidain, rishtay daaron aur padosion ke huqooq ada karne ka hukum diya hai, Allah pak takkabur karne walon aur shekhi khoron ko pasand nahi farmate, walidain kay sath husn e sulook aur narmi se baat karne ki hidayat ki gayi, Allah pak ne biwi se bhalai karne, insaaf karne ka hukum diya hai. Khutba e Hajj mein khateeb Hajj ne farmaya ke Allah taala ki janib se naap toal poori karne, amanat ki hifazat, adal o insaaf se faislay karne ki hidayat ki gayi hai, Allah pak ne ahal e eesaar, khair ki raah mein kharch karne walon ko pasand farmaya hai, akhlaq fazila ke silsilay mein Allah pak ne Quran pak mein kayi ehkamaat diye. Imamِ Masjid e Nabwi salle Allhau alehi wassalam ka mazeed kehna hai ke baa akhlaaq logon, gussa peenay walon, naiko karon ke liye jannat ki basharat di gayi hai, Allah taala ne tauba karne walon, imaan laane walon aur raah e raast par chalne walon ko bakhash dainay ka faisla sunaya hai, Allah pak Arfa ke roz naik logon ko bakhash dete hain aur farishton mein un ka zikar karte hain, maidan e Arfat mein husn e akhlaq mukammal kardiye gay hain. Unhon ne mazeed kaha ke Allah pak ne surah Hujraat mein afwahon ki tasdeeq karne ka hukum diya hai, Allah pak ne farmaya hai ke Quran seedha rasta dekhata hai, kitaab Allah ne Musalmanoon ke ittehaad par zor diya hai, makr o fraib se bachney ki hidayat di hai, Shariat ne sood khori aur juve ko haraam qarar diya hai, Allah pak ne apni, apne Nabi salle Allhau alehi wassalam aur apne Umraa ki itaat ka hukum diya hai, un ehkamaat ka maqsad is liye diya ke Musalman ghalba haasil kar saken. Hukumaraan aisa hona chahiye ke Allah ki itaat kere aur har tarah ki burayee ko rokay, hukmarani aisi ho jis mein Allah aur is ke Rasool salle Allhau alehi wassalam ke ehkamaat ki pairwi ki jaye, Shariat ke mutabiq zindagi busr ki jaye, Allah ka hukum hai faisla saazi adal ki bunyaad par ki jaye, siyasat aur maeeshat ko deen ke mutabiq dhaalne ki zaroorat hai. Khutba Hajj ke baad namaz e Zahar aur Asar ek sath ada ki jayen gi, jis ke baad aazmeen ghuroob aftaab ke sath hi Muzdalfah rawana hon ge, jahan woh namaz-e maghrib aur isha ada karen ge, aazmeen Hajj raat bhar khulay aasman taley qiyam karen ge aur rami ke liye kankariyan jama karen geDr. Abdul-Aziz ibn Abdullah Al ash-Sheikh ka kehna hai ke Rasool Allah salle Allhau alehi wassalam ne farmaya tum mein sab se achay woh hain jo akhlaq mein achay hain, Islmam khair, ahsaan, kharch aur sakhavat par ubharta hai, ummat Muslimah Quran pak par jama hai, aik hi qibla rukh karti hai, Allah taala farmate hain ke mere bandon se keh dijiye ke bahut hi achi baat mun se nikalo, ae imaan walon, ehad o paiman pooray karo, waday wafa karo. Islmam zulm o ziyadati ko pasand nahi karta, Musalman ko chahiye ke kisi ke sath ziyadati na kare, Nabi pak salle Allah aleh wasallam ki paish kardah akhlaqiaat kisi bhi be gunah ko nuqsaan pahonchaney se rokti hain, muashray ke aman keliye hrmslman ko koshish karni chahiye, akhlaq husna muashray ko kamyabi ki taraf le jata hai, poori duniya ko Quran pak ke mutalea ki dawat dete hain, Quran seedhay rastay ki taraf le kar jata hai. Unhon ne mazeed kaha ke Allah taala ne walidain, rishtay daaron aur padosion ke huqooq ada karne ka hukum diya hai, Allah pak takkabur karne walon aur shekhi khoron ko pasand nahi farmate, walidain kay sath husn e sulook aur narmi se baat karne ki hidayat ki gayi, Allah pak ne biwi se bhalai karne, insaaf karne ka hukum diya hai. Khutba e Hajj mein khateeb Hajj ne farmaya ke Allah taala ki janib se naap toal poori karne, amanat ki hifazat, adal o insaaf se faislay karne ki hidayat ki gayi hai, Allah pak ne ahal e eesaar, khair ki raah mein kharch karne walon ko pasand farmaya hai, akhlaq fazila ke silsilay mein Allah pak ne Quran pak mein kayi ehkamaat diye. Imamِ Masjid e Nabwi salle Allhau alehi wassalam ka mazeed kehna hai ke baa akhlaaq logon, gussa peenay walon, naiko karon ke liye jannat ki basharat di gayi hai, Allah taala ne tauba karne walon, imaan laane walon aur raah e raast par chalne walon ko bakhash dainay ka faisla sunaya hai, Allah pak Arfa ke roz naik logon ko bakhash dete hain aur farishton mein un ka zikar karte hain, maidan e Arfat mein husn e akhlaq mukammal kardiye gay hain. Unhon ne mazeed kaha ke Allah pak ne surah Hujraat mein afwahon ki tasdeeq karne ka hukum diya hai, Allah pak ne farmaya hai ke Quran seedha rasta dekhata hai, kitaab Allah ne Musalmanoon ke ittehaad par zor diya hai, makr o fraib se bachney ki hidayat di hai, Shariat ne sood khori aur juve ko haraam qarar diya hai, Allah pak ne apni, apne Nabi salle Allhau alehi wassalam aur apne Umraa ki itaat ka hukum diya hai, un ehkamaat ka maqsad is liye diya ke Musalman ghalba haasil kar saken. Hukumaraan aisa hona chahiye ke Allah ki itaat kere aur har tarah ki burayee ko rokay, hukmarani aisi ho jis mein Allah aur is ke Rasool salle Allhau alehi wassalam ke ehkamaat ki pairwi ki jaye, Shariat ke mutabiq zindagi busr ki jaye, Allah ka hukum hai faisla saazi adal ki bunyaad par ki jaye, siyasat aur maeeshat ko deen ke mutabiq dhaalne ki zaroorat hai. Khutba Hajj ke baad namaz e Zahar aur Asar ek sath ada ki jayen gi, jis ke baad aazmeen ghuroob aftaab ke sath hi Muzdalfah rawana hon ge, jahan woh namaz-e maghrib aur isha ada karen ge, aazmeen Hajj raat bhar khulay aasman taley qiyam karen ge aur rami ke liye kankariyan jama karen ge.