Wednesday, May 15, 2024
HomeIndiaAligarh mein CAA ke khilaaf muzahira kar rahen se zayed khawateen ke...

Aligarh mein CAA ke khilaaf muzahira kar rahen se zayed khawateen ke khilaaf FIR darj

Aligarh: Shehriat Tarmeemi Qanoon ( CAA ) ke khilaaf ehtajaji muzahiray karne par Aligarh mein 60 se zayed namaloom khawateen ke khilaaf FIR darj ki gayi hai. Police ne bataya ke khawateen ke zareya kiye gaye ehtijaj, Dafaa 144 ki khilaaf warzi hai, Jo is waqt zila mein nafiz ki gayi hai.

Aligarh Civil lines ke circle officer ( CO ) Anil Samania ne kaha ”kuch khawateen ne dafaa 144 ki khilaaf warzi karte hue shehriat tarmeemi qanoon ( CAA ) aur National Population Register ( NPR ) ke khilaaf ehtijaj karne ki koshish ki. 60-70 namaloom khawateen ke khilaaf FIR darj ki gayi hain, Aur un khawateen ki shanakht karne ka amal shuru kiya gaya hai“.

Uttar Pradesh sameit mulk ke mukhtalif hissoun mein mutanazia qanoon shehriat tarmeemi qanoon ( CAA ), ke khilaaf ehtajaji muzahere kiye ja rahay hain, Un muzahiroun mein ab khawateen bhi shaamil ho gayi hain. Mazkorh mutanazia qanoon CAA ke tehat 3 mumulik, Bangladesh, Afghanistan, Pakistan ke 6 mukhtalif mazahab se talluq rakhne waloun, Maslan Hindu, Sikhnoun, Jainoun, Aatish Parastoun, Budhistoun aur Isaioun ko shehriat di jaye gi. Aur is qanoon mein musalmanoun ko daur rakha gaya hai.

Mazkorh qanoon ko ayeen ke khilaaf aur mulk dushman qarar dete hue mulk bhar mein ehtajaji muzahere kiye jarahay hain, Is ke ilawa un muzahiroun mein mukhtalif shoba hayaat se talluq rakhne wali shakhsiyatioun aur khawateen o buzurag hissa le rahay hain. Aur CAA aur deegar qawaneen ko wapas laine ka mutalba kar rahay hain. –YTN STAFF