Friday, May 17, 2024
HomeLatest NewsAl Quran park awam ke liye khol diya gaya

Al Quran park awam ke liye khol diya gaya

Abu Dhabi: UAE ki riyasat Dubai mein taamer kardah duniya ke pehlay azeem ul shan Al Quran  park ko aam awam ke liye khol diya gaya. Dubai ke Maroof ilaqay’ Al-khawaneej mein taamer kardah duniya ke is munfarid museum numa park ko ibtidayi tor par 2014 mein aam awam ke liye khola jana tha. taham is ki taamer aur usay muqaddas kitaab’ quran shareef’ mein bayan kiye gaye waqeat aur ehkamaat ke mutabiq tayyar karne mein kuch waqt laga. taham ab is museum numa park ko aam awam ke liye khol diya gaya .

Dubai Muncipality ke mutabiq is park ki koi ticket nahi aur yeh haftay ke saton din awam ke liye khula rahay ga. Al Quran  park’ 60 acre raqbay par phela hua hai aur usay muqaddas museum bhi kaha ja raha hai .

Dubai municipality ke mutabiq is museum numa park mein 12 baghaat qaim kiye gaye hain jin mein quran shareef mein zikar kiye gaye phalon ke darakht lagaye gaye hain. un baghoon mein quran shareef mein bayan kiye gaye aanar, Zaitoon , anjeer aur khajoor sameit deegar phalon ke darakhton aur poudoun ko lagaya gaya hai .

Al Quran  park mein shahkaar fun taamer ke zariye quran shareef mein bayan kiye gaye Muajzaat aur karishmoun ko bhi bayan karne ki koshish ki gayi hai. duniya ke is munfarid museum numa pehlay park mein ghaar bhi banaya gaya hai jisay jadeed sahuliyaat se aaraasta kiya gaya hai. museum numa park mein jheel aur doudnay ke track waghera bhi banaye gaye aur is ke zareya aam afraad ko quran shareef mein bayan kiye gaye maujizoun aur karishmou ko samajhane ki koshish ki gayi hai .-YTN STAFF