Sunday, May 19, 2024
HomeSliderAjmer shareef mein Rubat ki taamer ka anqareeb aaghaz

Ajmer shareef mein Rubat ki taamer ka anqareeb aaghaz

Hyderabad: Telangana hukoomat ke muntazir project Rubat (Guest House) Ajmer mein Hazrat Moin Uddin chisti rahmatullah alaih ke liye rahein hamwar hogayi hain.

Telangana state waqf board ke ohdedaron ne Guest House ki imarat ka tafseeli mansoobah Ajmer development authority ko manzoori ke liye paish kiya hai. Design aur imarat ka mansoobah shehar ke ek mashhoor maimaar ne waqf board ke senior membaron aur mehakma aqliati behbood Telangana ke ohdedaron ke zareya diye gaye mashwaron aur wazahat ke sath tayyar kiya.

Telangana state waqf board ke cheif executive officer Mohammad Qasim ne kaha kuch din pehlay mein zaati tor par Ajmer ki Mazar shareef per gaya tha aur baad mein Ajmer development authority ke ohdedaron se bhi mila tha. Is mansoobay ke dastawizaat aur mansoobay manzoori ke liye un ke hawalay kardiye hain. Unhoun ne kaha ke taraqiyati authority ki janib se manzoori milnay ke baad yeh kaam shuru hojaienge. Guest house ko 5000 murabba gaz zameen par anay ki tajweez hai. Riyasati hukoomat ne Saudi arab mein Rubat imaarton ki khutoot par taamer honay walay 5 crore rupiye ke budget ki manzoori di.

Telangana state waqf board ke chairman Mohammad Saleem ne kaha haal hi mein chief minister KCR ne bhi hamein kamon mein taizi laane ki hadaayat di. Telangana se lakhoon afraad apne aqeday se balatar ho kar saal bhar Hazrat Mon Uddin Chisti ke mazaar par jatay hain. Ajmer mein Rubat taamer karne ka faisla liya gaya kyunkay bohat se logon ko munasib rahaish ki talaash mein dushwariyon ki shikayat hai aur yeh bhi ke is jagah par dastyab rahaish kaafi mehngi hai. Jab maamla chief minister ke ilm mein laya gaya to unhon ne foran hi is par raazi hogaye aur raqam Manzoor karli.