Sunday, April 20, 2025
HomeIndiaAjmer mein CAA ke khilaaf ehtijaj, Dargah ke Deewan ka putla jalaya...

Ajmer mein CAA ke khilaaf ehtijaj, Dargah ke Deewan ka putla jalaya gaya

Ajmer: Ajmer Dargaah ke khadimoun aur badi tadaad mein deegar musalmanoun ne Rajisthan mein Jumma ke roz shehriat tarmeemi Act ( CAA ) ke khilaaf ehtajaji March kiya. Muzahireen ne Ajmer dargaah ke dewan Zainul Abedin Ali Khan par CAA ke talluq se musalmanoun ko gumraah karne ka ilzaam lagatay hue, Un ka ka patla jalaya.

Ek khadim  Sarwar Chisti ne kaha ”As Act ka mansookh kiya jana chahiye, Kyunkay is se aeen ki tajweez par hamla hota hai“. Is silsila mein wazeer aazam Narendra Modi ko ek khat bhi bheja ya hai.

Ehtajaji March dargaah bazaar se guzarte hue Collectorate  par iktetam pazeer huva. Is se qabal Ajmer dargaah ke dewan ne elaan kiya tha ke musalmanoun ko shehriat tarmeemi Act ( CAA ) se darny ki zarurat nahi hai, Kyunkay ye un ke khilaaf nahi hai aur un ki shehriat bhi khatray mein nahi hai.

Wazeh ho ke shehriat tarmeemi act ko leker mulk ki awam khaskar aqlitoun mein kaafi narazgi hai aur mulk ke mukhtalif shehroun mein is Act khilaaf par zor ehtijaj kiya jaraha hai. Aur reliyan nikaali jarahi hain. Sath hi is qanoon ko mansookh karne ka mutalba kiya jaraha hai. Aisay mein kuch Muslim shakhsitien CAA ke Muslim mukhalif qanoon na honay ki baat kehkar musalmanoun ko samjhane ki koshish kar rahay hain.

Isi terhan Ajmer dargaah ke dewan ne bhi musalmanoun se kaha tha ke mazkorh qanoon musalmanoun ke khilaaf nahi hai. Jis par apni narazgi zahir karte hue Ajmer mein Dargah hai ke khadimoun aur deegar afraad ne ehtijaj kiya aur dewan Zainul Abedin Ali Khan ka patla nazar aatish kiya. –YTN STAFF