Monday, April 21, 2025
HomeIndiaAjmer ka salana Urs ikhtetami din mein daakhil

Ajmer ka salana Urs ikhtetami din mein daakhil

Ajmer: Rajasthan ke Ajmer mein Khwaja Moinuddin Chishti ka 808 wa salana Urs kal 5 March ko naveen ke qul ( bara qul ) ke sath baqaida ekhtetaam pazeer hojaye ga. Qul ke mauqa par dargaah ihatay ko aqeedat mandoun ki janib ghulaab aur keode ke pani se dhonay ki mazhabi o riwayati rasam ada ki jaye gi. Baday Qul ke mauqa par subah 5 bajey se 11 bajey taq ada ki janey wali rasam ke baad anjumanoun ki janib se sab ke liye khusoosi duayen ki jayen gi aur buland darwazay par chadaya gaya Urs ka jhanda utaar liya jaye ga. Isi ke sath Rajab mah ki yakam tareekh se shuru huva Urs mubarak ekhtataam pazeer ho jaye ga.

Baday qul ko mad e nazar rakhtay huve dargaah ilaqay mein ronaqe barqarar hai aur zaireen ne yahin qiyam kiya hai, Jinhein qul ki mazhabi rasam mein shareek hona hai. Ye loog qul ke pani ko Bottles mein bhar kar apne gharon ko le jayen ge. Urs mukammal honay par zelah aur Police intizamia bhi raahat ki saans le gi. Ajmer mein Pakistan ke 211 arkaan ke jithay ki mojoodgi Security ke lehaaz se intizamia ke liye badha kam hai. Urs ekhtataam pazeer honay ke bawajood wahan ki hukoomat ki chadar pesh nahi karwane ka mansoobah hai. Zaraye ke mutabiq 7 March ko ’Alvidah’ se pehlay 6 March ko chadar pesh kurwaye janey ka mansoobah tha. Is se pehlay bada qul bhi ekhtataam pazeer hojaye ga. –YTN STAFF