Wednesday, May 15, 2024
HomeSliderAjinkya rahane par team ka sara dar-o-madar hoga: Gautam Gambhir

Ajinkya rahane par team ka sara dar-o-madar hoga: Gautam Gambhir

New Delhi: Hindustani team ke sabiq opener Gautam Gambhir ne kaha hai ke Australia ke khilaaf Melbourne mein khailay jane walay dosray test match mein team ke karguzar captain Ajinkya rahane par team ka sara dar-o-madar hoga. Team ke mustaqil captain virat kohli ki ghair mojoodgi mein rahane team ki captani sambhalainge. Kohli January mein apne pehlay bachay ki paidaiesh ki wajah se Adelaide test ke baad watan lout gaye hain. Hindustan Adelaide mein pehla day. Night test match dhai din mein hi 8 wicket se hargya tha. Dono teamon ke mabain 26 decemeber se Melbourne mein dosra match khela jayega.

Darin asna Gambhir ka khayaal hai ke Rahane par team ka sara dar-o-madar hoga. Sports keeda mein gambhir ne kaha hindustani team ko yaad rakhna chahiye ke woh pehlay inhen yeh bhi khayaal rakhna hoga ke abhi teen test match baqi hain aur is mein team ke behtareen khiladi kohli shaamil nahi honge. Un halaat mein Rahane par sara dar-o-madar hoga. Mohammad Shami ke team mein nah honay se yeh dekhna hoga ke Rahane kis tarhan team ka tawazun banatay hain. woh zakhmi honay ki wajah se baqi test series se bahar ho chukay hain.

Is se pehlay gambhir ne dosray test ke liye aakhri eleven ke liye apni khwahish zahir karte hue kaha tha ke Shubhman Gill, Rishabh pant, KL Rahul aur ravinder Jadeja ko is muqaabla mein mauqa milna chahiye. mein Shaw ke muqablay mein Mayank ke sath Shubhman gill ko opening karte hue dekhna chahta hon. Pujara number teen aur Ajinkya rahane ko 4 number par batting karni chahiye. Rahane is muqablay mein team ke captain honge aur inhen team ki misali qayadat karni chahiye. Kohli ki jagah Rahane ko chouthay number par khelna chahiye. Unhon ne kaha ke KL Rahul ko paanch number par khelna chahiye jabkay pant chhatay aur Jadeja ko satwen number par utarna chahiye. Ashwin aathween par aur is ke baad teen bowlron ko maidan mein utarain. Mein chahta hon team is muqablay mein 5 fast bowlron ke sath khailnay utre.