Friday, May 17, 2024
HomeTrending NewsAjeeb-o-ghareeb makhlooq se Misar mein khauf ka mahol

Ajeeb-o-ghareeb makhlooq se Misar mein khauf ka mahol

Cairo: Misar mein Social Media par Viral tasweer ne logoun mein khauf heraas phela diya hai. Tasweer mein ek ajeeb-o-ghareeb makhlooq dikhayi gayi hai jo bohat baday bichhoo jaisi lagti hai. Social media par kaha ja raha tha ke ye ajeeb Al-khalqat makhlooq Misar, Libya aur Tunis mein payi jati hai. Misri media ke hawalay se muqami jareeday akaz ne kaha hai ke is tasweer ne misar mein ghayr-maa’mooli khauf-o-heraas is waqt phelaya jab logoun mein ye mashhoor huwa ke ye makhlooq Misar mein bhi Bakasrat payi jati hai aur ye intahi khatarnaak bichhoo hai.

Sahili shehroun mein rehne walay loog is makhlooq ke dar se sersham hi gharoun mein band ho jatay thay aur beshtar logoun ne makaan ki khidkiyan aur Balcony bhi is makhlooq ke khauf se band kar di hain. Misri Web News Sada Al-Balad ke mutabiq jis makhlooq ki tasweer ne Alexandria aur sahili shehroun mein khauf phelaya is makhlooq ka koi wujood nahi. Ye mehez ek photographer ka kamaal tha. Ek plastic ki dummy ko is terhan darwazay mein rakh kar tasweer banai gayi thi ke wo dekhnay mein bilkul asal mehsoos hoti hai.

Misri media ney Facebook ke zariye is Photographer se rabita kiya jis ney haqeeqat se parda uthatay hue kaha ke aisi koi makhlooq nahi ye mehez ek plastic ki Dummy hai jo Fiction Film ko dekh kar banai gayi thi. Yaad rahay ke ek Italian Photographer ney apne Facebook paich par ye tasweer Viral kar di thi.