Monday, April 29, 2024
HomeSliderAirport yemeni Wazeer-e-Azam ke tayyaray par khofnaak hamla, darjanoun halaak aur senkdoun...

Airport yemeni Wazeer-e-Azam ke tayyaray par khofnaak hamla, darjanoun halaak aur senkdoun afraad zakhmi

sana’a: Yemen ke junoobi shehar Aden mein airport par ek zordar dhamaka hua aur is ke foran baad hi nai tashkeel shuda cabeena ko lejane wala tayyara waha utra. Is zimn mein security hukkaam ne mazeed kaha ke dhamakay mein kam az kam 25 afraad halaak aur 110 zakhmi hue. Yemen ki bain ul aqwami satah par tasleem shuda hukoomat ne kaha ke Iran ke himayat Yafta hosui baghion ne airport par chaar ballestic missile daaghe. Sarkari tayyaray mein sawaar kisi ko takleef nahi pohanchi. baad azan ohdedaron ne shehar ke ek mehal ke qareeb hi ek aur dhamakay ki ittila di jahan airport ke hamlay ke baad kabeena ke arkaan ko muntaqil kardiya gaya tha.

Saudi arab ke zair-e-qayadt ittehaad ne baad azan ek bomb se drone ko giraya jiske zareya mehal ko nishana bananay ki koshish ki gayi. Kabeena mein rado-badal ko yemeni sadar abid rabo mansoor haadi aur UAE ki himayat Yafta junoobi alehadgi pasandon ki hukoomat ke mabain ek khatarnaak tanaza ko band karne ki taraf ek ahem qadam ke tor par dek Yemen ki salha saal se jari khanah jungi mein haadi ki hukoomat aur alehadgi pasand baraaye naam ittihadi hain jo housioun ke khilaaf saudi arab ki Zaire-qiyadat, Amrici himayat Yafta fouji ittehaad ko nuqsaan pohancate hai, jo ziyada tar shumali yemen ke saath saath mulk ke darul hukoomat sanaa’a per bhi control rakhte hai.

Airport par jaye waqooa se milnay wali footage mein dekhaya gaya ke dhamakay ki wajah se honay wali halakaton ke baad hukoomati wafad ke arkaan utar rahay hain. bohat se wazraa jahaaz ke andar wapas pahonch gaye ya panah letay hue seedihoon se neechay bhage. Terminal ki imarat ke qareeb se ghany dhuwan ke baadal hua mein uttha. jaye wuqoo par mojood ohdedaron ne kaha hai ke unhon ne Airport par afra tafri aur kahi lashain padi dekhi. Yemeni muwasilat ke wazeer jo tayyaray mein thay unhon ne ne khabar rasan idaray AP ko bataya ke unhon ne 3 dhamakay sunay, jis se yeh maloom hota hai ke woh drone hamlay thay. fouji aur security forces ne mehal ke aas paas ke ilaqay ko band kardiya.

Wazeer-e-Azam Saeed ne tweet kya ke woh aur unki kabeena mehfooz hain. Unhon ne dhmakon ko ek buzdilana dehshat gardi ki karwai qarar diya jo yemeni riyasat aur hamaray azeem logon ke khilaaf jung ka hissa hai. Wazeer-e-kharja ahmad awad bin mubarak ne un hamlon ka zimma daar housioyun ko qarar diya. unki wizarat ne baad mein ek bayan mein kaha ke baghion ne Airport par chaar ballestic missile daghe aur kabeena ke sadar daftar mehal par drone hamlay kiye. Unhon ne saboot fraham nahi kya. Wazeer sehat Qasim ne ek tweet mein kaha ke hawai adday par hamlon mein kam az kam 25 afraad halaak aur 110 deegar zakhmi hue, tajweez karte hain ke halakaton ki tadaad mein mazeed izafa hosakta hai kyun ke kuch ke zakham shaded the.