Monday, April 29, 2024
HomeSliderAirport per zyada wazan ki fees se bachney khatoon ne kayi jodhe...

Airport per zyada wazan ki fees se bachney khatoon ne kayi jodhe kapdhe pehan liye

Manilla : Duniya mein aise logon ki kami nahi hai jo kay anokhay aur munfarid andaaz se apni ruukawaton ko door karte hain aur maamla jab chand paisoun ko bachanay ko hota hai to phir unki ukhatray salahatein aur urooj par hoti hain aisa hi ek waqea Airport par pesh aaya jab ek khatoon ne muqarara hadse ziyada wazan ke kapdon ki fees ada karne ki bajaye bag mein se ziyada wazan ko kam karne ke liye mutadid kapdhe nikaal kar pehan liye jisay photo mein bhi mulahiza kiya jasakta hai.

Ek khatoon musafir ne izafi baggage fees ki adaigi se bachney ke liye anokha tareeqa ikhtiyar kiya aur jitne kapdhe uss ne pack kiye they unn mein ziyada se ziyada pehan kar suit case ka wazan kam kardiya. philippine se talluq rakhnay wali jail rodrigues Nami khatoon Facebook post mein bataya ke airport par airlines amlah ne ussey aagah kiya ke uss ke luggage ka wazan saadhay 9 kilograme hai, jabkay 7 kilogram wazan sath le jaaney ki ijazat hai.

Rodrigues ne izafi baggage fees denay se inkaar kardiya aur chalaki dikhata hue bag mein se taqreeban 3 kilogram kapdhe nikaal kar pehan liye jisse bag ka wazan saadhay 6 klio gram hogaya. khatoon ne Facebook par apni mazahiya andaaz mein tasweer bhi shaya ki hai, jis mein woh paint, tea shirts aur jackets ke taqreeban 5 jodhe pehnay hue hai aur sath hi tehreer hai ke 9 kilogram se saadhay 6 kilogram baggage karkay izafi baggage challenge qubool karliya.

khatoon ki shaya ki gayi tasweer social media par viral hogayi, jisay 21 hazaar se zayed martaba share aur 36 hazaar se zayed logon ne apne tasrat ka izhaar kiya hai. Rodrigues ne mazeed kaha ke woh izafi baggage fees is liye nahi dena chahti thi ke wazan sirf 2 kilo gram hi to ziyada tha, khatoon ne mazaq karte hue kaha kay agar mujhe maloom hota ke tasweer viral hojayegi to kuch behtar andaaz mein banwati.

Khatoon se jab poocha gaya ke aap dobarah aisa karengi to uss ka kehna tha ke woh waqai dilchasp tha lekin mein tajweez nahi karoongi ke log aisa karen. yaad rahay ke is saal July mein bhi aisa hi waqea pesh aaya tha jab scotland se talluq rakhnay walay 1 shakhs ne izafi luggage fees se bachney ke liye baik waqt 15 shirts pehan liye they. –YTN STAFF