Sunday, April 20, 2025
HomeIndiaAir India Ka Server Down Honay Se Musafireen Kayi Ghantay Airports Par...

Air India Ka Server Down Honay Se Musafireen Kayi Ghantay Airports Par Phas Gaye

Hyderabad: Air India ka naam suntay hi awam ke zehnon mein fouran is ke tayyaroun ki aamad wo Raft mein takheer ka ek manfi pehlu ujagar hojata hai aaj subah iske sath ek aur bada technical masla paish aagaya jis ki wajah se Hindustan ke kayi airport ke alawa Bain ul aqwami satah par bhi Musafireen ko paanch se zayed ghanton tak kash-makash ki haalat darpaish rahi .

Hawai safar duniya ke ek konay se dosray konay tak awam ko chand ghantoun mein pouncha deta hai lekin kabhi aisa bhi hota hai ke ek chothee si technical kharabi se aalmi satah par Musafireen ko jo ke lakhoun ki tadaad mein hosakte hain inhen sangeen masail ka saamna bhi karna padh sakta hai, aisa hi kuch haftay ki subah awleen satoun mein dekhnay ko mila jab Air India ka Internal server down hojane ki wajah se aalmi satah par air India ke hazaro Musafireen ko Hindustan ke mukhtalif airports ke alawa duniya bhar ke mukhtalif airports mein apne tayyarey ke intezaar mein be-chain dekha gaya hai .

Tafseelaat ke mutabiq Air India ka Internal server haftay ki subah (31/2) saadhey teen bajey Crash hogaya jiski wajah se Mumbai, Dehli, Bangalore, Hyderabad aur deegar kayi ahem Airports par qaumi aur bain ul aqwami flights mutasir hui hain. 5 ghantoun ki taweel jad-o-jehad ke baad suroor ki technical khaami ko door kiya gaya .

Is ziman mein izhaar-e-khayaal karte hue SMD Ashwani lohani ne kaha ke Air India system ko dobarah paanch ghanton se ziyada ki jad-o-jehad ke baad kargard ban alia gaya hai, lekin un 5 ghanton ke douran Hindustan  ke ahem airports ke alawa bain ul aqwami satah par bhi hazaro  Musafireen ko masail ka saamna raha. Yad rahe Air India ke software ki dekh bhaal SITA karta hai jo ke aalmi satah par Maroof tareen air lines ko IT khidmaat faraham karta hai jis ke zariye Musafireen ko check in, boarding aur baggage tracking tecnology faraham ki jati hai .

Air India ke sath yeh pehla waqea nahi balkay guzashta baras 30 June ko bhi Air India ki khidmaat mein technical masail ki wajah se khalal paida tha aur Hindustan mein 25 se zayed Air India ki flights mutasir hui thi. haftay ki subah ke awleen saatoun mein jaisay he air India ke server mein technical khaami aur flights ke mutasir hone ki khabrain Musafireen ki janib se social media par faraham ki gayeen to awam ki zabanoun par yeh ek garma garam behas ban gayi aur dekhte hi dekhte Facebook Whatsapp aur social media par khabroun ke alawa afwahoun ka bhi bazaar garam hogaya . –YTN STAFF