Saturday, April 20, 2024
HomeIndiaAindhan aur LPG cylinder ki barti qeematon se be rozgari mein bhi...

Aindhan aur LPG cylinder ki barti qeematon se be rozgari mein bhi izafah

Aindhan aur LPG ki qeematein aik baar phir barh gayeen jis se awam mazeed mayoosi mein prhgye hain. yakam July se 14. 2 kilo wazni LPG cylinder mein 25 rupay ka izafah kya gaya hai jis ke baad hyderabad mein, gharelu gas cylinder ki qeemat ab 861. 50 rupay ke bajaye 887 rupay hogi. tijarti 19 kilograme wazan LPG cylinder ki qeemat mein bhi 76 rupay ka izafah ho gaya hai aur ab is ki qeemat 1646 rupay ke bajaye 1730. 50 rupay hogi.

LPG cylinder ki qeematon mein izafay ki asal wajah petrol aur diesel dono ki qeematon mein zabardast izafah hai. hyderabad mein is waqt petrol ki qeemat 102.59 rupay fi liter aur diesel ki qeemat 97. 1 rupay hai. 4 May ke baad se eendhan ki qeematon mein musalsal izafah hua hai. eendhan aur LPG ki qeematon mein barhatay hue izafay ki wajah se sarfeen mein gham o gussa paaya hai. un ka daawa hai ke eendhan aur LPG ki qeematon mein izafay ka un logon par bohat ziyada assar para hai.

ALSO READ: Corona ne lakhoon afraad ko lakhpatti banadiya

Ola driver 21 sala s waseem ne media se baat karte hue kaha ghar se kaam karne ( work fromhome ) aur covid19 ke khauf ki wajah se mein ab gahak haasil karne mein nakaam hon. aik din ki meri saari kamaai sirf eendhan ki kharidari mein hi sirf hoti hai. mujhe nahi maloom ke mein kis terhan intizam karoon ga aur –apne ahal khanah ke liye do waqt ki roti ka intizam kaisay karpaon ga.

Aik aur ola driver ki ahliya laxmi ne kaha ke taqreeban chaar mah hue hain jab mere shohar ko corona hua aur inhen kaam chhorna para. woh ab bhi bistar par hai. mein gaari nahi chala sakti lehaza mein ne aik choti si dukaan shuru kar di, lekin abhi tak koi kaarobar nahi hua hai. barhti hui mehengai ke sath mein nahi janti ke hum munafe ki aik paisa kama saken ge ya nahi mukhtalif shehron mein barhti hui qeematon ke khilaaf mukhtalif social media platform par log apni mayoosi zahir karne ke ilawa apna ghhua bhi nikl rahe hain.