Thursday, May 2, 2024
HomeIndiaAindah 40 dinon mein arkaan-e-parliment aur intezamia ki neendein haraam

Aindah 40 dinon mein arkaan-e-parliment aur intezamia ki neendein haraam

New Delhi: Lok sabha intikhabaat 2019 ke pehlay marhalay ki raye dahi ke ekhtataam ke baad Strong room mein electronic voting machine ( EVM ) ki hifazat intizamia ke liye jahan ek challenge hai wahein aindah taqreeban 40 dinon tak mustaqbil ke arkaan-e-parliment ki jaan bhi ek tarha se atki rahaygi. lok sabha intikhabaat ke liye agarchay ab 6 marahil mein raye dahi hogi .
Is ke alawa chaar riyaston ke assembly intikhabaat bhi honay ja rahay hain aur yahan raye dahi mutaliqa reyaston mein lok sabha intikhabaat marhala waar tarikhon mein honge. tamam intikhabaat ki ginti aindah 23 May ko ek sath hogi .

lok sabha aur assembly intikhabaat ke liye baqi marahil mein raye dahi khatam honay ke sath hi strong room mein EVM ki hifazat ke challenges badhatay jayenge. behar haal pehlay marhalay ka raye dahi khatam honay ke baad EVM ko strong room mein pohanchaya ja chuka hai. ahem siyasi jamaaton ke sath hi ilaqai jamaaton ke umeedwaron ke alawa azad umeed waar sameit 1279 umeedwaroun ka naseeb EVM mein band ho chuka hai aur ab yeh 23 May ko khulayga.

17th lok sabha ke aam intikhabaat ke pehlay marhalay mein 18 reyaston aur do markaz ke zair e intizam ilaqon ki 91 nishitoun par 1279 umeedwaron ne apni qismat aazmai hai. un umeedwaron mein Nitin Gadkari, VK singh, Harish Rawat , Chairag Paswan, Ajeet Singh, Jinat Choudhri, Asaduddin Owaisi, Ramesh pokhariyal aur Jitn Raam Manjhi jaisay ahem quied shaamil hain. mutaliqa azlaa ke a strong room teen satah ki security ke saaye mein hai. EVM ki hifazat ke liye police, PAC aur Paramilter¸ force tainaat hai .
Strong room ki 24 ghantay CCTV cameron ke zariye nigrani ki ja rahi hai aur security intizamaa itni sakht hai ke goya yahan parindah bhi par nahi maar sakta. strong room ke bahar LEd screen bhi nasb kiye gay hain, jis ke zareya wahan mojood siyasi jamaaton ke karkun strong room ke under EVM dekh rahay hain .
Is mauqa par baghir kisi rukawat ke bijli ki sarbarahi kam mushkil nahi hai kyunkay bijli Gul honay aur Generator ka  bandobast nah honay ki haalat mein LED screen band ho sakti hai. maazi ke intikhabaat ke douran takneeki wajohaat se aisay halaat peda honay laparwai ya EVM mein kharabi ki shikayaat bhi samnay aati rahi hain. lok sabha intikhabaat ke dosray marhalay mein 18 April ko 13 reyaston ki 97, teesray marhalay mein 23 April ko 14 reyaston ki 115, chouthay marhalay mein 29 April ko 9 riyastoun ki  panchwin marhalay mein 6 May ko 7 reyaston ki 51, chhatay marhalay mein 12 May ko 7 reyaston ki 59 aur satwen aur aakhri marhalay mein 19 May ko 8 reyaston ki 59 nishiston ke liye raye dahi hogi. lok sabha  ki nishiton ke liye intikhabaat mein 10, 35, 928 polling both banaye gay hain, jahan taqreeban 90 crore raye dahindgaan apne haq raye dahi ke zareya mulk ki qayadat ka faisla karen ge . –YTN STAFF