Friday, May 17, 2024
HomeLatest NewsAhtjajyoun par nazar rakhnay ke liye ab Drone ka istemaal

Ahtjajyoun par nazar rakhnay ke liye ab Drone ka istemaal

New Delhi: Mutanazia shehriat tarmeemi qanoon ke khilaaf ehtijaj shiddat ikhtiyar karne lagey, Delhi mein lakhoun afraad ke muzahiroun ke baad security forces ne Drone se nigrani shuru kardi. Hazaroun afraad ko hirasat mein le liya gaya. Ehtijaj mein shirkat karne par Germany ke taalib ilm ke baad Norway ke shehri ko mulk choadnay ke ehkamaat day diye gay. Police ne muzahiroun ke douran nuqsaan ki zimma daari awam par daal kar crores rupay harjana ada karne ke notice bhejna shuru kar diye.

Delhi mein muzahiroun ko roknay ke liye dafaa 144 ke tehat imtinai ehkamaat nafiz hain. Faseel shehar Jamia masjid, Selaampur, jod baagh aur Shaheen Bagh jaisay ilaqoun mein badi tadaad mein logoun ne ehtajaji muzahira kiye aur badi tadaad mein loog paidal March kar ke wazeer e azam ki rahaish gaah tak jaany ki koshish ki taham Jamia masjid ke ilaqay se muzahireen ko bahar nikalny nahi diya gaya.

Mumbai mein bhi kayi tanzeemoun bhi saraapaa ehtijaj banin. Khawateen ki badi tadaad shaamil hui. Muzahireen Byculla road par muzahira karna chahtay lekin police ne ijazat nahi di to sab Mumbai ke maroof azad maidan mein jama hue.

Is mauqa par all India democratic Woman Association ki sarbarah Malini Bhattacharya ne Modi hukoomat par aeen ke khilaaf kaam karne ka ilzaam aed kiya.

Ziyada pabandiyan riyasat Uttar Pradesh ( UP ) mein nafiz ki gayi hain jahan Lacknow samet mutadid hassas ilaqoun mein security sakht ki gayi hai. Intizamia ne Lacknow samet 21 azlaa mein Internet ko moattal kar diya hai aur jummay ki namaz ke baad honay walay muzahiroun par nazar rakhnay ke liye Drones se nigrani ki gayi. Riyasat ke taqreeban 2 tahai ilaqay mein Internet jaisi koi cheez nahi hai.

Mutanazia qanoon ke khilaaf ehtijaj par tashadud shakal ikhtiyar karta ja raha hai, Pandrah roz qabal shuru honay walay ehtijaj mein ab tak 30 ke qareeb afraad zindagi ki baazi haar gay hain.

Police ne kaha hai ke 1100 afraad ko giraftar kiya gaya hai jabkay saadhay paanch hazaar se ziyada logoun ko hifazati hirasat mein liya gaya hai. 2013 mai maghribi UP mein firqa waranah fasadaat ke baad se police ki ye ab taq sab se badi karwai hai.

Intizamia ne kaha hai ke muzahiroun ke douran police ki Jeep ko aag laganay par saadhay 7 lakh rupay wusool kiye jayenge. Is ke ilawa Vireless set loudspeaker, Hotel ke todnay par 31500 rupay wusool kiye jayenge. Police Barricade todnay par saarhay 3 lakh rupay ada karna honge.

Is ke ilawa muzahiroun mein mobayyana tashadud ki koshisho par qaboo paate hue totnay wali police ki lathyoun aur goliyan chalanay ka kharch bhi muzahireen ada karenge. Intizamia is ke liye ab tak karordoun rupay ke notice bhaij chuki hai. Sarkari it-tila-aat ke mutabiq Moradabad mein 200 aur Meerut mein 48 logoun ko notice bhej deya gaya hai.Lacknow mai 110, Rampur mein 79 Muzaffarnagar mein 73 Kanpur mein 50 Sunbal mein 26 Bulandshahr mein 19 Ferozabad mein 29 Gorakhpur mein 34 aur move mein 8 logoun ko notice bheja gaya hai.

Police ne kaha hai ke abhi mazeed logoun ki shanakht ki ja rahi hai. Lacknow mai jinhein notice jari kiya gaya un mein se baaz ahem naam retired police officer S R Darapuri, Congress ki leader aur adakara sadaf Jaffer aur Mohammad Shoiab hain.

Uttar Pradesh ke cheif Minister Yogi Adityath ne harjana wusool karne ke ehkamaat diye hain, Jis ke baad zilai intizamia ney tamam karwai mukammal ki hai. Jin logon ko notice bheja gaya inhen ek haftay mein jawab dainay ke liye kaha gaya hai.

Agra mein sayahat dam todnay lagi hai, Taj Mehal ke sayaho ki tavajja ka markaz hai, Subah se shaam 6 bajey taq internet mutal raha.Bijnor, Bulandshahr, Muzaffarnagar, Meerat, Aligarh, Ghaziabad, Ferozaabad, Shamli, Rampur , Sitapur, Kanpur aur Lacknow jaisay shehron sameit taqreeban do tahai UP mein internet nahi hai.

Congress ki rehnuma Priyanka Gandhi ney samaji raabtey ki Website Twitter par Twit par wazeer e dakhla Amit Shah par sakht nuqta cheeni ki. Oppostion congress ke senior leader aur sabiq wifaqi wazeer P Chidambaram ney lund noon thaal ko hindustan chodney ka hukum diye jaaney ki sakht nuqta cheeni karte hue kaha ke hindustan mein un dinon jis terhan ke waqeat pesh arhay hain woh isi terhan ke hain jaissa ke Adolf Hitler ke daur mein Germany mein pesh aeye they. –YTN STAFF