Sunday, May 19, 2024
HomeTrending NewsAhteyati qawaid ki khilaaf warzi par Saudi se be-dakhli ki saza

Ahteyati qawaid ki khilaaf warzi par Saudi se be-dakhli ki saza

Riyadh: Saudi wizarat dakhla ne Corona waba se nimatnay ke liye muqarrar hifazati iqdamaat aur intizamaa ki khilaaf warzi karne waloun ke liye sazayen aur sarznish ke zaabtay muqarrar kiye hain. Tafseelaat ke mutabiq wizarat dakhla ke ohdedar ne bayan jari karkay khilaaf verziyoun aur un ki sazaon ki jo tafseelaat bayan ki hain un mein qayed-o-jurmane ke alawa mumlikat se be-dakhli shaamil hai.

Wizarat dakhla ke bayan mein kaha gaya ke agar muqarrar kardah zabtoun mein se kisi ek ki khilaaf warzi karne wala mumlikat mein muqeem ghair mulki hoga to usay Saudi Arab se be dakhal kardiya jayega aur saza kaatnay ke baad usay Blacklist kardiya jayega. Khilaaf verzyoun mein se kisi ek par muqarrar saza laago karne se koi aur sharai ya qanooni saza mutasir nahi hogi.

Bayan ke mutabiq jurmane ki sazaoun, Idaara band karne aur be dakhli ki saza ka faisla wazeer e dakhla karen ge ya wo ohdedar kerega jis ka wo usay ikhtiyar tafweez karenge. Sazaoun ka elaan har ilaqay mein har roz kiya jayega. Corona ke hifazati iqdamaat ya ahteyati intizamaa ki khilaaf warzi karne walay ko saza delane ka maamla public Prosecution ko bheja jayega jahan se khilaaf warzi karne walay ke khilaaf zurori qanooni karwai amal mein layi jayegi.

Wazeer insaaf ek ya is se ziyada Committee daad rassi ke liye tashkeel denge. Committee Saudi qawaneen aur sharai umoor ke 3 mahireen par mushtamil hogi. Wizarat dakhla ne bayan mein ye bhi kaha ke ye Committee idaara band karne ki saza ya jurmane ki saza ke faisloun ke khilaaf insaaf talabb karne waloun ki darkhwasten nimatayegi.
Jurmane ya idaara band karne ki saza ke khilaaf mobayyana Committee ke samnay daad rassi ki ja sakti hai. Faislay ki ittila milnay ke chand roz ke andar Committee se rujoo karna hoga. Committee ka faisla hatmi hoga jisay kisi bhi idaray ke samnay Challenge nahi kiya ja sakta. Bayan ke mutabiq muqarrar kardah zabtoun ki khilaaf warzi par qayed ki saza Corona ki waba ke hungami halaat khatam honay ke baad di jayegi. Khangi Company ke nigaran idaray aur Security Force ke ohdedar mobayyana khilaaf warzyoun ki Report bana yenge. Chalaan katinge aur muqadma tayyar karkay zurori karwai ke liye wizarat dakhla ko bhejenge.

Wizarat dakhla ke ohdedar ne kaha ke jald hi ijitmaat aur taqrebaat par pabandi ka lahe amal jari kardiya jayega jo shakhs bhi ijitmaat par pabandi ke ehkaam ki khilaaf warzi kerega is se 1 hazaar Riyal se leker 1 lakh Riyal tak jurmane ya 1 mah se 1 baras tak qayed ya dono sazayen bac waqt di jayen gi. –YTN STAFF