Tuesday, May 14, 2024
HomeSliderAhteyati iqdamaat ke tehat Saudi Arab mein Schools ko tatilat

Ahteyati iqdamaat ke tehat Saudi Arab mein Schools ko tatilat

Riyadh: Saudi Arab ki wizarat taleem ne mehakma sahet ke hukkaam ki sifarish par ahteyati tadbeer ke tor par tamam schools, Sarkari o niji taleemi idaroun, Universities aur takneeki idaroun ko earzi tor par band karne ka elaan kiya hai. Is faislay par peer 9 March se amal shuru hochuka hai.

Wizarat taleem ne tadrisi amal ki muatali ke douran Online Education Programme ka bhi elaan kiya hai. Saudi khabar rasan Agency SPA ke mutabiq wizarat taleem ne apne Twit mein bayan jari kar ke kaha hai ke ye faisla sarkari o khangi schools aur Universities mein talba o talbat aur tadrisi o intizami amlay ki salamti aur sahet ke tahaffuz ki khatir kiya gaya hai.

Unhoun ne mazeed kaha hai ke’ 14 Rajab 1441 mutabiq 9 March 2020 se taa ittila sani Saudi Arab ke tamam soboun aur Commissioner mein taleem sargarmia earzi tor moattal kar di gayi hain. Ye pabandi sarkari o khanki Schools, Taleemi idaroun, Colleges, Universition, Sarkari o niji pesha warana o takneeki tarbiyat General Corporation par laago hogi.

Wizarat taleem ne itminan dilaya hai ke taleemi idaroun ko band karne ka faisla ahteyati tadbeer ke tor par kiya gaya hai. Is hawalay se koi tashweesh mein mubtala na ho. Tamam afraad hifazati iqdamaat aur tadresi ki pabandi karen aur sahet ke hawalay se hidayat par amal karen taakay Coronavirus ke phelao ko roka ja sakay. Taleem ki bahaali ke liye mutaliqa Committee nai sorat e haal ka jaiza layte rahay gi. Darin asna Riyadh aur Madina ki Municipalities ne Coronavirus se bachanay aur sahet aama ki khatir ahteyati tadabeer nafiz ki hain. SPA ke mutabiq Riyadh Municipalities ne Reports ke tanazur mein baazaaroun, Restaurant aur dukanoun par pabandi aed ki hai ke wo virus ke phelao ko roknay aur apne sarfeen ki salamti ki khatir hifazati ahteyati tadabeer karen.

Riyadh Municipalities ne malz ke malkaan ko hidaayat di hai ke wo Washroom aur Malls ke tamam hissoun mein jaraseem kash adwiyaat ka Spray karayen. Restaurants mein Waiters ko hifazati Mask pahannay aur barbar Shops ke kaarkunoun ko dastanay aur hifazati Mask ke istemaal ki takeed ki gayi hai.

Madina Municipalities ne Shopping Trolley par jaraseem kash adwiyaat ka Spray karaya hai. Dukandaron aur karkunaan ke liye Sanitizers ka istemaal zurori qarar day diya. Khanay peenay ki ashya farokht karne wali dukanoun ke karkunaan aur hajamat ki khidmaat anjaam dainay wali dukanat ke kaarkunoun ko dastanay aur hifazati Mask istemaal karne aur safai ki sakht takeed ki gayi hai.

Alawa azeen tareekhi maqamat aur shehar ke markazi ilaqay mein sehan aur Footpath dhulwaye gaye hain. Saudi Arab ke tamam idaroun mein Coronavirus se bachao ki tadabeer ki muhim jari hai. Madina Munawwara Islami University ne kutub Mela aur taqreeb taqseem asnad ke Programme multawi kar diye hain.

University mein mutadid saqafati o Ilmi programme bhi moattal kar diye gaye hain. Karkunaan ke liye finger Print ka amal ghair zurori qarar day diya gaya hai. Governor shehzada Mohammad Bin Nasir Bin AbdulAziz ne Governor, Commissioner aur Thesiloun ke mulazmeen ko Finger Print ke istemaal se rokk diya. Mecca Municipalities ne ahteyati tadbeer ke tor par phooloun ke Mela ka ineqad multawi kar diya hai. –YTN STAFF