Saturday, May 18, 2024
HomeExclusiveAhtejaji muzahiroun ne do qaumi nazriya ko khatam kardiya

Ahtejaji muzahiroun ne do qaumi nazriya ko khatam kardiya

Hyderabad: Modi hukoomat ke nafiz kardah nee Shehriat qanoon ke khilaaf ahtejaj ki aisi taswerain samne aa rahi hain, Jin se musalmanoun ke tain riwayati soch ka khtama ho raha hai. Is baar ulma aur mazhabi shaksiaat qayadat nahi karre hai hain balkay qayadat karne walay nojawan aur gharloun khawateen hain. Ye ehtijaj khalis musalmanoun kabhi nahi hai jaisa ke maazi mein Salman Rashedi, 3 Talaq ya Taslima Nasrin ke maamloun mein dekhye deya tha. Is ke barkhilaf ye ek nai hama geer tehreek hai jis mein Jama Masjid ki seedihoun se Shahi Imam ki bajaye Chanshekhar Azad khitaab karre hai.

Tamam tabqaat ow mazhab ke talba sath mil kar”Aazadi “ka ghair firqa waranah naara laga rahay hain. Tamam muzahireen ki ek ahem aur tawana daleel ye hai ke jab dastoor ow ayeen ke mutabiq qanoon ki nazar mein tamam mazahab ko yaksaa ahmiyat haasil hai tu Hindustani parliament ikeeswen sadi mein koi bhi qanoon saazi karkay is dastoor mein mazhabi tafreeq ka ansar daakhil nahi kar sakti.

Un muzahireen ke paas ek mazboot hatyaar hai aur oh hai hindustani ayeen ka” Debacha“. Kapday aur tarz poshish ka ikhtilaaf yahan maiene nahi rakhta, Jeans, Jacket aur hijaab sab sath hain. Ahem baat ye hai ke Shaheen Bagh ki khawateen ya Banglore ki software professional Jamia ke talba o talbat kaprane mazlomit ow mutazer hune ke tasawwur se koi talluq nahi hai, Is ki bajaye un muhib watan Hindustanyoun ki janib se poori tawanai aur taaqat ke sath barabari ke haq shehriat ka izhaar kiya jara ha hai.

Muzahiroun ke maqamat par aap ko aisay bachay aur jawan nazar ayen ge, Jinhoun ne apne cheharoun par Hindustani tringa naqsh karwa rakhe hai, Aisay manazair umooman hindustan ke cricket matchoun ya yomِ azaadi ke moqay par dekhne ko mlitay hain. Shaheen Bagh mein ek India Gate aur Hindustan ka ek azeem ul Shaan naqsha banea gaya hai. Azaadi ke Hero Gandhi, Bhagat Singh, Ambidkar aur Maulana Azad ki taswerain ek qitaar mein lagai gayi hain. Un sab ko ek sath dikhaane ka nazriya ( jo kay riwayati siyasat daan nahi karte ) hi is ehtijaj ko nazriati tour par munfarid banata hai.

Mumbai mein Dharavi ki jangi jhonpdhyoun mein rehne walay musalman apne Marathi padosioun ke sath mil kar qaumi geet garahe hain. Majlis ke leader Waris Pathan ne poori qowat ke sath kaha kay dosray loog bhallay hi Australia, America hijrat kar jayin lekin is mulk ke musalman apne pyare watan Hindustan ko kabhi nahi chode satke.

Ek sawal ho sakta hai ke kya Musalman darke maaray apni hub ul-watni ka izhaar kar rahay hain? BJP keh sakti hai ke watan se mohabbat ow wafadari ka izhaar ow irlaan yakeeni tour par wahi cheez hai jis ka BJP shuru se mutalba karti rahi hai lekin haqeeqat ye hai ke musalmanoun mein kisi qisam ka khauf nahi hai wo khil kar apne khilaaf hone walay taasub ko challenge kar rahay hain balkay wo kisi bhi dukyanusiyat aur bhadi tasweer kashi ko sarihan mustard kar rahay hain. Sath hi deegar muhib watan afraad ke sath saf basta hone ke liye logoun mein bain ul mazhab bhai chaaray aur yakjahti ka shoqِ farawan peda ho raha hai.

Muzahirey mein shareek 1 shakhs ne kaha hai ke ab bohat hochuka hai. Kya ham Ayodhya faislay par khamosh nahi they? Kya ham is waqt bhi khamosh nahi they, Jab maweshioun ki tijarat ke naye qanoon ke zariye hamaray karubar ku nuqsaan puhnchaya gaya? Kya ham is waqt bhi chup nahi they, Jab Hindustan ki wahid Muslim aksriyati riyasat ko wifaqi khittay ( Union Territory ) mein badal diya gaya? Kya ham ne apni musalsal hattak ke bawajood aman o aman ki bateen nahi kee? lekin ab jabkay hamari shehriat ko challenge kiya gaya hai, To hamein apni madar watan se mazboot intesaab ke izhar aur hukumat ke tain shadeed narazgi jatanay mein koi jhijhak nahi hai.

Ye aawaz sirf aksariyat pasandi ke khilaaf nahi hai balkay sath hi ye khud musalmanoun ke un danishwaroun ( maslan maazi qareeb mein Syed Shahabuddin) ke bhi khilaaf hai, Jo Hindustaniyat ki bajae Muslim shanakht par zur dene ki koshish karte hain. Chunancha Shaheen Bagh ke ehtijaj mein Hindustan ke 4 sepahi Hindu, Muslim, Sikh, Isaai jaisay naaray tawatar ke sath lag rahay hain, Jis se ye tewaqqum haasil hota hai ke bain ul mazahab ishtiraaq o ettehad ke zariye hi ek haqeeqi tour par azad Hindustan ki taamer o tashkeel hosakti hai.

Uttar Pradesh, Maghribi bengal aur manglore mai tashadud ke waqeat aur entehapasandanah siyasat ki wajah se is tehreek ke ikhlaqi weqaar kuch thais pohanchi thi lekin ziyada tar ehtejaj ta haal pur aman hain aur mumkin hai un se mukhlisana ow pur aman awaami tehreek ke tain ek baar phir se logoun ka itemaad wa yaqeen lout aeye. –YTN STAFF