Monday, April 21, 2025
HomeIndiaAhmed patel ki Gadkari se mulaqaat

Ahmed patel ki Gadkari se mulaqaat

New Delhi : Congress ke senior leader aur party sadar Sonia Gandhi ke qareebi manay janay walay Ahmed patel ney aaj yahan markazi wazeer aur BJP  ke sabiq sadar Nitin Gadkari se mulaqaat ki.

Congress mein pas parda  makanaat talaash karne mein maahir patel ney agarchay baad mein kaha ke unhon ney Gadkari ke sath baat cheet mein maharashtra ki siyasat ke baray mein koi tabadlah khayaal nahi kiya.

Unhon ney kaha mein ney Maharashtra akam tak nahi kaha. patel ney kaha Gadkari se meri mulaqaat Maharashtra ki siyasat ke baray mein nahi thi. mein markazi wazeer ke paas Maharashtra ke kisanoun ke masail par guft shaneed karne ke liye gaya tha. Gadkari aur patel ki mulaqaat ki ahmiyat is baat se aur badh gayi hai ke Gadkari ko RSS ka qareebi samjha jata hai aur shivsena ke leadron ney is hukoomat saazi ke ta-attul ke hal ke liye RSS ki qayadat aur Gadkari ki salisi ki appeal ki hai.

Maharashtra mein hukoomat saazi ke silsilay mein shiv sena aur BJP mein jari rassa kashi ke darmiyan Gadkari ki rahaish gaah par peer ke roz 2 ahem mulakaatein huien hain. BJP ke mojooda sadar Amit Shah aur Maharashtra ke chief minister Devendra fadnavis ney Gadkari ke sath baat cheet ki thi. doosri janib congress ke khaima mein party sadar Sonia gandhi aur nishnlist congress party ( NCP ) ke saddar sharad pawar ke darmiyan bhi Maharashtra ke muamlay par mulaqaat hui thi.

Maharashtra assembly intikhabaat ke 21 october ko hue intikhabaat ke 24 october ko nataij bar-aamad hue jis mein BJP Shiv sena ittehaad ko mukammal aksariyat haasil hui lekin shiv sena chief minister ke ohday aur mehakmon mein 50-50 ke formula ki bunyaad par hukoomat bananay ke mutalbe par ba-zid hai jabkay BJP chief minister ke ohday, wizarat-e-dakhla aur assembly ke speaker ke ohday ke liye kisi bhi qisam ka samjhota karne ko tayyar nahi hai. Maharashtra mein 9 November ko nai hukoomat ki halaf bardari ki tayyariyan honay ki ittila hai. –YTN STAFF