Monday, May 6, 2024
HomeIndiaAgli Hukumat BJP ki nahi NDA ki hogi: Shiv Sena

Agli Hukumat BJP ki nahi NDA ki hogi: Shiv Sena

Mumbai:  Ayindah intekhabaat mein BJP aksariyat se daur rehne ka khadsha zahir karte huwe Shiva Sena ke Senior Leader Sanjay Rawat ney kaha ke 2014 mein BJP ney Hukumat banai thi lekin 2019 mein NDA ki Hukumat hogi. BBC Marathi ki janib se yahan munaqida Aik events mein izhar e khayal karte huwe Rajia Sabha ke rukan Parliament ney paish qiyaasi ki hai ke 2014 ke baad Hindustani Siyasat mein rujhanat tabdeel huwe hain. 2014 main BJP ne wazeh aksariyat ke sath Iqtidaar sanbhala tha aur ab 2019 main Lok Sabha intekhabaat mein NDA ki Hukumat hogi. Rawat ney yeh bhi izhaar kiya hai ke aindah intekhabaat mein BJP ko 210 nashistain haasil hosakti hai lekin NDA ko taqreeban 300 nashistain haasil hon gi.

Shiva Sena BJP ki aik qadeem Haleef hai aur is ki numaindagi karne walay Rawat ne aindah intekhabaat ke ziman mein kaha hai ke BJP ke paas shayad Modi ke alawa koi dosra Wazir e Azam ka umeedwaar nahi hein lekin NDA ke paas kayi aik naam maojood hain jo ke wizarat uzma ke liye mozoon hain lekin yeh to BJP ki janib se 200 se kam nashiston ke baad hi faisla ho sakta hai. 2014 main  BJP ne 282 nashistain haasil ki thi jo ke 1984 ke Lok Sabha ke baad kisi bhi aik party ki janib se haasil ki janey wali saada aksariyat hai. Unhon ne mazeed kaha ke woh saarhay teen baras qabal hi keh diya tha ke 2014 aur 2019 main halaat mukhtalif honge. Markaz mein 2014 ko BJP ney Hukumat banai thi lekin 2019 main NDA ki Hukumat hogi. BJP aur an NDA ke liye nashiston ki tadaad ke ziman mein Rawat ney kaha kay BJP ko 210 nashistain haasil hosakti hai lekin NDA ki kamyabi 300 ka nishana uboor kere gi. Pulwama hamle ke baad awaami rujhanaat ka tazkirah karte huwe unhon ne kaha ke is waqeye ke baad Hindustani awam chahtay hai ke markaz mein Hukumat mazboot hathon mai ho.