Tuesday, May 7, 2024
HomeSliderAglay 200 din hindustani hockey ke liye kaafi ahem: Singh-Rani

Aglay 200 din hindustani hockey ke liye kaafi ahem: Singh-Rani

New Delhi: Hindustani mard hockey team ke captain Manpreet singh aur khawateen team ki captain Rani ne kaha hai ke olympics mein ab 200 din baqi hain aur yeh 200 din hamaray liye bohat ahem hain. yaad rahay ke olympics ka ineqad 2020 mein hona tha lekin coronavirus ki wajah se usay 2021 tak ke liye multawi kardiya gaya tha. Is saal July august mein Tokyo olympics ka ineqad kya jayega.

Manpreet ne kaha is saal olympic khelon mein bohat saaray challenges hain aur hamein is ke liye zehni tor par tayyar rehna hoga. Kuch ghair yakeeni sorat-e-haal ka saamna hai lekin hamein sirf is baat ki fikar karni hogi ke hamaray qaboo mein kya hai aur apni behtareen karkardagi ke liye mehnat karni hai. Unhon ne kaha aglay 200 din hamaray liye bohat ahem hain. Tokyo mein medal jeetnay ke liye team ke har khiladi ko apni tarbiyat aur muqablay mein sad feesad karkarkardgi muzahira karna hoga.

Rajiv gandhi khail ratan award Yafta rani ne kaha guzashta qaumi camp jo chaar mah tak chala is mein hum ne apni purani form haasil karne ke liye kaafi mehnat ki. aglay chand mahino mein hum apne khail ke tamam pehluo ko behtar bananay par tawajah denge. is saal ke muqablay se hamein pata chalay ga ke hum kaha kharray hain aur hamein kis shoba mein behtari laane ki zaroorat hai. yahan se hum sab ko apna behtareen karne ke liye sakht mehnat karni hogi.

hamein har match aur har session mein khud ko saabit karna hoga jisse hum team mein apni jagah yakheeni bana sakay. Hamaray paas team mein bohat se achay nojawan khiladi hain jo mere khayaal mein team mein jagah banayen ge. Hamein apni zehni fitness par bhi tawajah deeni hogi aur zakhmi honay se khud ko mehfooz rakhna hoga.