Friday, May 9, 2025
HomeIndiaAgar zaroorat padi to mein khud Jammu wo Kashmir jaunga, aur janch...

Agar zaroorat padi to mein khud Jammu wo Kashmir jaunga, aur janch padhtal Karunga : Chief Justice

New Delhi : Chief justice of India ( CJI ) Ranjan Gogoi ne Jammu Kashmir se article 370 hataye jane aur iske baad ke halaat se mutaliq dair ki gayi darkhwaston par samaat karte hue kaha ke, yeh maamla sangeen hai. agar zaroorat padhi to mein khud Jammu wo Kashmir jaunga aur zati tor per janch padhtal Karunga.

Unhon ne kaha ke mein ne Jammu wo Kashmir high court se report talabb ki hai, is report ko dekhnay ke baad, agar mujhe laga ke mujhe wahan jana chahiye to mein khud hi high court jaoonga. unhon ne is case ki samaat ke douran hukoomat se jammu wo Kashmir ki sorat-e-haal ko mamool par laane ke liye un tak uthaye gaye iqdamaat ke barey mein malumaat dene ki kaha.

Darasal yeh maamla Jammu wo Kashmir ki jailoun mein band 18 saal se kam Umar bachoun ki giraftari se mutaliq hai. huqooq atfaal karkun Ganguly ne court mein yeh maamla uthaya. chief justice of India ne kaha ke ”ye be had sangeen maamla hai. mein khud niji tor par phone par high court ke chief justice se baat karoonga. zaroorat padi to riyasat ka doura bhi Karunga.

Samaat ke douran markazi hukoomat ne supreme court ko bataya ke ek goli bhi nahi chalaye gayi hai, kuch muqami pabandiyan aed hain. isi ke sath supreme court ne markazi hukoomat se sorat-e-haal ko mamool par laane ko kaha hai. isi douran, markazi hukoomat ne supreme court ko bataya Kashmir mein tamam akhbarat chal rahe hain aur hukoomat har mumkin madad faraham kar rahi hai. media ko mehdood ilaqon tak rasai ke liye ”pas“ diye gaye hain aur sahafiyoun ko phone aur internet ki sahuliyaat bhi faraham ki gayi hain. aur TV channels aur FM net work kaam kar rahay hain. –YTN STAFF