Monday, April 21, 2025
HomeIndiaAgar hukoomat chahay to wo mere ohday ko chean sakti hai: Irfan...

Agar hukoomat chahay to wo mere ohday ko chean sakti hai: Irfan Habib

Kannur: Morak Irfan Habib, Peer ke roz Kerala ke Governor Arif Mohammad Khan ke sath apne ” squabble “ke tanaza mein ulje hue hain. Unhoun ne kaha ke agar hukoomat chahay to wo mere ohday ko chean sakti hai. Habib ne peer ko yahan media numaindoun ko bataya ”Agar wo chahain to, Wo professor Emeritus aur AMU ke mehakma history mein ek aur ohda bhi lesatke hain, Jo Emeritus se bada hai“.

Pichlle haftay Kunnar University mein 80 we hindustani history congress ke iftitahi taqreeb mein, Kerala ke governor Arif Mohmmad khan ne ek mutanazia bayan diya tha. Unhoun ne morak Irfan Habib aur deegar logoun ke CAA aur NRC ke khilaaf ehtijaj ke dar miyan Maulana Azad ke ek bayan ka hawala deya tha. Unhoun ne is qanoon ki mukhalifat karne waloun se kaha ke, Aap logoun ke liye, Maulana Azad ne is se qabal convention mein kaha tha ”Mulk ki taqseem ki gandagi ko dhulva diya hai, Lekin kuch gadhay bach gaye hain, Jis mein pani bach gaya hai aur bay badbo aarahi hai“.

Is ke ilawa Governor Khan ne ilzaam lagaya ke Irfan Habib ne protocol toad diya aur yahan tak ke wo baat karte hue apne security ke maavnen ko bhi dhakil diya. Is par morak Irfan Habib ne kaha mai 88 saal ka aadmi hon aur is ka ADC 35 ke lag bhag hoga aur mein ye kaisay kar sakta hon. Sab kuch dekhne ke liye mojood hai aur sab ne dekha kiya huva

Is waqea ke baad Kerala ke Governor Official Twitter handle ne is waqeye ki ek tasweer shaya ki aur likha ke ”Mister Irfan Habib ne stage par Governor ke iftitahi khitaab ko rokne ki koshish ki, Unhoun ne Muaziz governor ke ADC aur Security officer ko dhaka deya“. Darasal, Jab governor Arif Mohammad Khan hindustani history congress ke 80 we ijlaas ka iftitah kar rahay they, To unhoun ne shehriat tarmeemi act ke barey mein baat karna shuru kiya, Jis ki kuch logoun ne mukhalifat ki. Is douran morak Irfan Habib stage par chadh gaye they.

Governor Arif Mohammad Khan ne protocol ki khilaaf warzi ko sanjeedgi se liya hai aur unhoun ne narazgi zahir karne ke liye Kerala ke chief secretary Tom Jose se mulaqaat ki hai. Mobayyana tor par wo is muamlay ko markaz ke paas uthany ki takeed kar rahay hain. –YTN STAFF