Saturday, May 11, 2024
HomeIndiaAgar CAA ka talluq mazhab se nahi hai to phir musalman kyu...

Agar CAA ka talluq mazhab se nahi hai to phir musalman kyu shaamil nahi hain.?: Bose

New Delhi: Maghribi Bengal ke BJP ke naib sadar, Aur Nitaji Subhash Chandar Bose ke potay Chandar Kumar Bose ne mangal ke roz, Shehriat Tarmeemi Qanoon ( CAA ), 2019 mein shafafit ka mutalba karte hue kaha ke agar is ka talluq kisi mazhab se nahi hai, To phir musalmanoun ko bhi shaamil kiya jana chahiye.

unhoun ne Twit kiya ke ”Agar CAA, 2019 kisi mazhab se wabsta nahi hai to hum kyun keh rahay hain, Sirf Hindu, Sikh, Bodh, Isaai, Paarsi aur Jain! Kyun musalman bhi shaamil nahi hain.? ye shafafiayt hona chahiye“.

Peer ki raat aur mangal ke roz ek aur Twit mein Bose ne ye bhi kaha ke hindustan tamam mazahab aur baradrioun ke liye khula mulk hai aur is ka mawazna kisi dosray mulk se nahi kar na chahiye. Unhoun ne kaha ”Hindustan ki barabari mat karo aur kisi doosri qoum se is ka mawazna mat karo, Kyunkay ye ek aisi qoum hai, Jo tamam mazahab aur firqoun ke liye khula hai“.

Taham unhoun ne mazeed kaha ”Ye baat bilkul durust nahi hai. Pakistan aur Afghanistan mein rehne walay balochoun ke baaray mein kiya khayaal hai.? Pakistan mein Ahmadiyon ke baaray mein kiya khayaal hai.? Bose ne kaha wo party jo subhash Chandar Bose ke sabhi baradrioun ki numaindagi karne aur is muashray ke tamam tabqaat ki taraqqi ke liye kaam karne ke jame nazre par amal pera hogi, Wo 2021 ke Assembly intikhabaat mein Bengal mein fatah haasil keregi. -YTN STAFF