Madniyaat ki duniya mein aik tareekh raqam karte hue janoobi Africa shehar Botswana mein Duniya ka sab se bara heera daryaft karne ka daawa kiya gaya hai. media report ke mutabiq anglo american d bear aur ke mutabiq africi shehar botswana mein aik hazaar 98 qeraat wazni duniya ka teesra bara heera daryaft karliya gaya. Bartanwi khabar-rasan agency ki report ke mutabiq yeh pathar 16 June ko dybona me diamonds company ke qaim maqam managing director lesinet arm strong ki janib se sadder Mook Whitsy misses ko paish kya gaya. khayaal kya ja raha hai ke yeh duniya ka teesra sab bada heera hai 1905 junubi Africa me teen hazar 106 khirat ka cani pathar dariyaft kiya gaya aur baad e azaan 2015 me botswan me ek hazar 19 khirat lesdi larwana dariyaf hua tha
Lesinet arm strong ne kaha ke yeh debwana ki 50 sala tareekh mein daryaft honay wala sab se bara heera hai. unhon ne kaha ke hamaray ibtidayi tajziye ke mutabiq yeh duniya ka teesra sab se bara javaahiir ke miyaar ka pathar ho sakta hai. hamein ab yeh faisla karna hai ke is heere ko d base channel ke zariye farokht kya jaye ya sarkari oakango diamonds company ke zariye baicha jaye.
ALSO READ: Junobi Africa mein Train se utaar deye jane ka waqea Gandhi Ji ki zindagi ka ahem moudd
Wazeer madniyaat lefuko mogi ne kaha ke abhi is daryaft honay walay pathar ko naam diya jana baqi hai. unhon ne kaha ke is pathar ki lambayi73 mili meter, chawdayi 53 mili meter hai jabkay is ki motayi 27 mili meter hai. saal 2020 mein corona virus ki waba se mutasir heere ki farokht ke baad is nayaab pathar ki farokht ka is se behtar koi waqt nahi tha.
Botswana ki hukoomat debona ki farokht se haasil honay wali aamdani ka 80 feesad hissa right aur taxes ke zariye wusool karta hai. saal 2020 mein debona ki pedawar 29 feesad kam hokar aik crore 66 qeraat tak pahonch gayi thi jabkay farokht 30 feesad kam hokar 2. 1 arab dollar tak pahonch gayi thi. aalmi waba corona virus ne heere ki talabb aur pedawar dono ko mutasir kya hai.
Safri pabandion mein narmi aur zewraat ki markets dobarah khilnay ke baad heere ki aalmi market bahaal horahee hai aur is saal 2021 mein debona apni pedawar ko 2 crore 30 laakh qeraat ki satah tak 38 feesad badhaane ka iradah rakhti hai.