Saturday, May 10, 2025
HomeSliderAfrica ke khilaaf pehla T20, Hindustan ki world cup tayari ka aaghaz

Africa ke khilaaf pehla T20, Hindustan ki world cup tayari ka aaghaz

Dharamsala: Hindustani cricket team ke captain Virat kohli ki zair-e-qayadat hindustani cricket team itwar ko naye andaaz mein nazar aa rahi Junoobi africi team ke khilaaf pehlay twenty 20 mein shirkat karegi lekin iski asal tavajja aindah baras Australia mein honay walay T20 world cup ki tayari par markooz hogi.

Is series mein Deepak chahar, Navdeep saini aur Khalil Ahmed jaisay noujawan khiladion ki karkardagi par arbab-e-majaz ki tavajja markooz hogi. Hindustan aur Junoobi Africa ke darmiyan 3  T20 matchon ki series ka pehla muqaabla itwar ko dharamshala mein khela jayega.

Taiz tareen format mein is martaba hindustani selectors ne kayi naye chehroun ka mauqa diya hai jis ke peechay maqsad aglay saal Australia mein honay walay ICC T20 world cup se pehlay nojawan aur ba-salahiyat naye cheharoun ko talaash karna hai.

Hindustani team T20 format mein apni tayario mein koi kasar nahi chodh rahi hai jis mein ziyada tar khiladi duniya ki mashhoor T20 Indian Permier League mein bhi khelnay ka tajurbah rakhtay hain. Hindustan ne haal hi mein west indies ke doray par teen T20 matchon ki series ko 3-0 se jeeta tha aur buland housloun ke sath woh apne gharelo maidan par Junoobi Africa ke khilaaf bhi isi kamyabi ko duhrana chahegi.

Aglay saal honay walay world cup se pehlay hindustani team ke liye apni behtareen team talaash karna ek challenge bhi hai aur captain coach Ravi Shastri T20 mein khiladion ko mauqa dainay ke haq mein hain. team mein Rajasthan ke fast bowler Khalil, Delhi ke Navdip aur Uttar pradesh ke Deepak naye khiladion mein hain jin ki karkardagi par intizamia aur selectors ki nigehain lagi hain aur yeh khiladi bhi team mein apni jagah paki karne ke liye jad-o-jehad karenge.

Hindustani team mein bowling shoba mein team ke paas bohat se naam mojood hain. fast bowler Bumrah ko aaraam diya gaya hai taakay naye khiladion ko mauqa diya ja sakay. wahein Bhuvneshwar kumar bhi mojooda series ka hissa nahi hain lehaza fast bowler ko nai jodi Navdeep, deepak aur khaleel ko apni salahiyat dikhaane ka mauqa milega.

Navdeep ne west indies ke doray se bain ul aqwami cricket career ka aaghaz kiya hai aur wahan 3 T20 matchon mein unhon ne 5 wicket le. doosri janib Chahar ne ek Odi aur 2 T20 matchon mein 5 wicket liye hain. khalil ne hindustani team ki janib se ziyada matchon mein hissa liya hai jaissa ke unhon ne 11 T20 matchon mein 11 wicket liye hain jabkay woh 11 ODI bhi team ki janib se khail chuke hain. –YTNSTAFF