Kabul: Kuwait mehakma shehri hawabazi ny Afghanistan se Kuwait anay wali commercial parwaazon par tahidayat sani pabandi lagadi hai. Ye pabandi Novel coronavirus ke tanazur mein lagai gayi hai. Website ke mutabiq Kuwait mehakma shehri hawabazi ny Afghanistan se anay wali parwaazon par pabandi ka sabab nahi bataya taham muqami media ny kaha hai ke ye faisla Novel Coronavirus ki waba ka khatrah badh jaaane ki wajah se kiya gaya hai. Kuwait ny Afghanistan ko Covid-19 ke hawalay se mamnooa mumalik ki fehrist mein shaamil kiya hai.
Yaad rahay ke Kuwait ny 31 mumalik se anay wali parwazon par pabandi lagai hai. Un mein Misar, Lebanon, Iraq aur Iran shaamil hain, Ye wo mumalik hain jahan Covid-19 ke naye musadeqa mareezon ki tadaad badh rahi hai. Darin Isna Kuwait mein pichlle 24 ghantay mein corona ke 432 naye mareez samnay aeye hain. Mutasireen ki tadaad badh kar 80 hazaar 960 hogayi. Kuwte khabar rasan Agency Kuna ny wizarat sahet ke hawalay se kaha hai ke pichlle 24 ghantay mein 618 afraad sahet yab hue. Shifa yab honay walon ki tadaad 72 hazaar 925 hogayi.
Bayan mein kaha gaya ke guzashta roz corona se teen amwaat hui hain jis ke baad virus se halaak honay walon ki tadaad 518 hogayi hai. Kuwait mein is waqt mojood mareezon ki tadaad 7517 hai jis mein 99 intehai nighdasht unit mein zair-e-ilaaj hain. Pichlle 24 ghantay mein teen hazaar se ziyada corona test kiye gaye. Ab tak paanch lakh 90 hazaar 623 test kiye ja chuke hain.