Kabul: Americi mehakma difaa pentagon ke hukkaam ke bamujab Doha mein Taliban ke sath tey panay walay muahiday ke tehat Afghanistan se Americi fouji inkhala shuru kardiya gaya hai. Afghanistan mein Americi Forces ke tarjuman ne kaha ke Washington muahiday ke tehat Afghanistan mein Americi fouj ki tadaad 135 dinoun mein 12000 se kam karkay 8906 karne ka paband hai.
Sky News ke mutabiq ye inkhala aisay mahol mein shuru huva hai jabkay Afghanistan ke 2 hareef rehnumao ne allag allag taqrebaat mein mulk ke sadar ki hesiyat se halaf uthaya hai. Is se Taliban ke sath America ke aman muahiday par amal daraamad aur 18 sala jung ke khatmay ki karwai ko agay badhaane mein mushkil peda hogi. Sarkari zaraye ke hawalay se bataya gaya hai ke Afghan sadar Ashraf Ghani is haftay kam az kam ek hazaar Taliban qaidyoun ki rihayi ka hokum namah jari karen ge.
Is se afaan hukoomat aur Taliban ke darmain barah e raast mazakraat ki raah hamwar hogi. 2 Afghan zaraye ne kaha hai mujawaza sadaarti hukum ke zariye omar raseedah Taliban qaidyoun ko reha kiya jaye ga. Ye faisla Ashraf Ghani ke doosri muddat ke liye bator sadar halaf bardari ke chand ghantay baad samnay aaya hai. Yaad rahay ke Afghan Taliban ne Kabul hukoomat ke sath mazakraat ke liye 5 hazaar qaidyoun ki rihayi ki shart ayed kar rakhi hai jabkay Doha mein huve moahida ke baad bairooni fouj aur Taliban ne Afghanistan mein halaat ko mamool par laane ke liye kayi ek nakaat par dastakhat kiye hain. –YTN STAFF