Saturday, July 5, 2025
HomeJurmAfghanistan mein zameen khiskane se kam az kam 10 halaak 300 makanaat...

Afghanistan mein zameen khiskane se kam az kam 10 halaak 300 makanaat tabah

Do Helicopters bachao teamon ko le kar Panjsher ke shumal mashriqi subah ke dehaat ko rawana, jahan kal raat zameen khiskane ka waqea paish aaya.

Kabul. Afghanistan ke shumal mashriqi subah Panjsher ke zila Khenj ke aik dehaat Peshghor mein kal raat zameen khiskane se kam az kam 10 afraad halaak aur 300 makanaat tabah hogaye. ohdedaron ne bataya ke do Helicopters bachao teamon aur raahat kaari saaz o samaan ke sath mutasirah moza ko rawana kiye gaye. kal raat zameen khiskane ke baais yeh dehaat beh gaya tha. National Disaster Managment Authority ke tarjuman Umar Muhammadi ne bataya ke zameen khiskane ke baad malba ke neechay dab jane walay afraad ko bachanay tarjeeh di jarahi hai. Afghanistan mein kayi khitun mein barish ke mausam mein waqfa waqfa se zameen khiskane ke waqeat paish atay hain, janglaat ke katao ki wajah se un waqeat mein izafah hwa hai. Sadar Afghanistan Ashraf Ghani jo Nato Conference mein shirkat ke liye Brussels mein hain hakkaam ko Hadayat di ke mutasireen ko darkaar saholaten baham pohanchai jayen.