Thursday, May 16, 2024
HomeSliderAfghanistan mein dehshat gard hamloun ki aqwam-e-mutahidda ki janib se mazammat

Afghanistan mein dehshat gard hamloun ki aqwam-e-mutahidda ki janib se mazammat

Aqwam-e-Mutahidda : Aqwam-e-Mutahidda salamti council ney Afghanistan mein haal hi mein musalsal dehshat garda hamlon ki purzor alfaaz mein mazammat ki hai.

Afghanistan ke junoobi shehar mein khufia salamti agency ke daftar Afghan national directorate ko nishana bana kar dhamaka kiya gaya jis ki zad mein nazdeek mein waqay Jabal provisional hospital bhi aagaya. is hamlay mein kam se kam 20 afraad ki mout hogayi aur 95 se ziyada log zakhmi hue. taliban ney is hamlay ki zimmedaari qubool ki hai.

Aqwam-e-mutahidda salamti council ney jari bayan mein kaha hai ke salamti council ke arakeen ney Afghanistan mein haliya hafton mein musalsal hamlon ki purzor alfaaz mein mazammat ki hai. salamti council 19 September ko Jabal soobah ke qlat gulzah mein hue hamlay ki khusoosi tor se mazammat karta hai jis mein kam se kam 20 afraad ki mout hui aur 95 se ziyada zakhmi hue. wazeh rahay ke Afghanistan ke junoobi qlat gulzah shehar mein khufia agency ke daftar afghan national directorate ko nishana bana kar dhamaka kiya gaya jis mein 20 afraad ki mout hogayi aur 95 deegar zakhmi hogaye. is hamlay ki zimmedaari taliban ney qubool ki hai.

Salamti council ney Afghanistan ke parwan soobah mein 17 September ko hue hamlay ki bhi mazammat ki hai. is hamlay mein kam se 38 afraad ki mout hogayi thi aur 80 se ziyada zakhmi hogaye they. bayan mein kaha gaya hai ke salamti council ke arakeen ney un hamlon ke liye zimmedaar afraad aur tanzeemon par rok laganay aur inhen adalat ke kathgaray mein laane ki zaroorat par zor diya hai aur sabhi mumalik se bain ul aqwami qawaneen aur salamti council se mutaliq tajaweez ke tehat Afghan hukoomat ke sath taawun karne ki appeal ki hai. wazeh rahay ke taliban ney Afghanistan mein 28 September ko honay walay sadaarti intikhabaat ke paish-e-nazar hamlon mein izafah kardiya hai. –YTN STAFF