Wednesday, May 15, 2024
HomeSliderAfghanistan mein Amrici fouj aur kayi baras rahegi

Afghanistan mein Amrici fouj aur kayi baras rahegi

Washington : Amrici fouj ke sarbarah ney umeed zahir ki hai ke 18 saal se Afghanistan mein mojood Amrici dastay mazeed kayi barson tak wahan rahenge.

Amrici TV channel ABC ko interview dete hue chairman joint chiefs of staff general mark miley ney kaha ke washington ney Afghanistan mein apni afwaj is liye bheje theen ke 11 September 2001 ke hamloun ke liye Afghanistan ko mubayyana tor par bunyaad ke tor par istemaal kiya gaya tha.

Unhon ney kaha ke afwaj ki is taenati ka wahid aur wazeh maqsad is baat ko yakheeni banana tha ke Afghanistan dobarah un intahaa pasandoun ki jannat na ban paye jinhon ney America mein hamla kiya tha. General Mark ney mazeed kaha hai ke mission abhi mukammal nahi hua, Afghanistan ko America par hamlay ki mansoobah bandi karne walay dehshat gardon ki jannat ban’nay se roknay ke liye mission jari hai aur 18 saal se jari hai.

Unhon ney kaha ke is mission ko kamyaab bananay ke liye hukumat Afghanistan aur Afghan security forces ko apni dakhli salamti behtar bananay ke qabil hona hoga taakay dehshat gardon ko unki sarzamen istemaal karkay deegar mumalik bilkhushoos America par hamla karne se roka jaye.

Amrici fouji sarbarah ka ye bayan sadar Donald Trump ke is bayan ki taied nahi karta ke wo Afghanistan mein khatam hoti hui jung mein Amrici afwaj ko mazeed rakhna nahi chahtay aur afwaj ke inkhala ka rasta nikaalte ke liye unhon ney qatar ke dar-ul-hukoomat Doha mein muzakraat ki ijazat bhi di thi.

September 2018 mein America aur taliban ke darmiyan shuru honay wali baat cheet is nateejay par pohanchanay wali thi ke Afghanistan mein paidaar aman aur Amrici afwaj ke inkhala ka moahida tey hojaye. Rawan baras September mein sadar Donald Trump ki janib se ye elaan samnay aaya ke unhon ney 11 September ke haftay ke ekhtataam par Afghan sadar Ashraf ghani aur senior taliban rehnuma ko washington ke nazdeek sadaarti mulaqaat mein madoo kiya tha.

Taham Afghanistan ke dar-ul-hukoomat kabul mein dehshat gardi ke silsila waar hamloun mein Amrici aur NATO fojion ki halakat par unhon ney dawat wapas leli thi balkay taliban ke sath honay walay muzakrat bhi khatam kardiye they.

Jiske baad guzishta mah Amrici numainda khusoosi baraye Afghan mafahmati amal zulme khalil zaad mazakraat bahaal karne ki gunjaish talaash karne ek martaba phir khittay ke doray par aaye they. chunancha ab lagta hai ke Amrici aman muahiday ke silsilay mein ahem kirdaar nibhanay ke liye ab Afghanistan ke hamsaaya mumalik ki hosla afzai kar rahay hain aur 18 saal se jari is jung ke khatmay ke liye roos aur chine se madad haasil karne ke khwaahan hain. wazeh rahay ke Afghanistan mein ab bhi 14 hazaar Amrici fouj ke sath sath NATO mein shaamil hazaron ki tadaad mein Europi fouji ohdedar mojood hain. –YTN STAFF