Gaadi mein maujood rocket dhamaka se phatt pada. sakht geer jangju group ISIL ney is khudkush bomb hamlay ki zimmay daari qubool kar li hai.
Gaadi mein maujood rocket dhamaka se phatt pada. sakht geer jangju group ISIL ney is khudkush bomb hamlay ki zimmay daari qubool kar li hai .
Afghanistan ke soobah Nangarhar mein Taliban aur sikoriti forces ki mulaqaat ke douran dhamaka ke nateeja mein kam az kam 20 afraad halaak hogaye. bain al aqwami media reports ke mutabiq Afghan hukoomat aur Taliban ki janib se Eid ul fittar ke mauqa par jung bandi ke elaan ke baad Taliban askriat pasandon ney Kabul sameit malik ke deegar shehron mein daakhil hokar awaami maqamat par shehrion aur sikoriti forces se baghal geer hokar inhen Eid ki mubarakbaad di. sikoriti forces se mulakaton ke douran Taliban askriat pasand ghair musallah they taham Nangarharmein Eid milnay ke douran zor daar dhamaka huwa jis ke nateeja mein kam az kam 20 afraad halaak aur mutadid zakhmi hogaye. police zaraye ka kehna hai ke dhamaka is waqt huwa jab Taliban ke muqami ohdedar Afghan security ehalkaron se Eid mil rahay they ke gaadi mein maujood rocket phatnay se dhamaka hogaya, jis gaadi mein dhamaka huwa woh Taliban ki thi jo mulaqaat ke douran hujoom mein khadi thi.
Al Arabia dot com ke mutabiq Afghanistan ke mashriqi soobay Nangarhar mein haftay ko Eid ke dosray roz jung bandi ke douran mein Taliban aur musallah afwaj ke aik ijtima mein car bomb dhamakay mein 26 afraad halaak aur 54 zakhmi hogaye hain. sakht geer jangju group ISIL ney is khudkush bomb hamlay ki zimmay daari qubool kar li hai. ISIL ke bomber ney apni barood se bhari car ko aisay waqt mein dhamakay se uraya hai jab Afghan security forces aur Taliban jngjoon ke darmain Eid ulfittar ke mauqa par pehli martaba jung bandi jari thi. woh dar-ul-hukoomat Kabul sameit mukhtalif shehron mein aapas mein ghul mil rahay they aur apne apne smart phones mein yeh khush gawaar manazair selfie ki shakal mein mehfooz kar rahay they. Nangarhar ke governor ke tarjuman ataa hamza Allah khojyani ney torkhm aur Jalalabad ke darmain shahrah par waqay qasbay Ghazi Aminullah Khan mein is car bomb dhamaka ki tasdeeq ki hai. unhon ney pehlay yeh kaha tha ke dhamaka rocket grenade ke phatnay se huwa hai. unhon ney bataya hai ke mahlukeen aur zakhmion mein Taliban, security forces ke ahelkaar aur aam shehri shaamil hain. woh Nangarhar ke zila Rudat mein waqay is qasbay mein mil jal kar jung bandi ka jashnn Minar hai they. ISIL ney is hamlay ki zimmay daari qubool kar ney ka daawa kya hai. is jangju group ki online khabar-rasan agency Amaq ney aik bayan mein kaha hai ke is car bomb hamlay ka hadaf Afghan forces ka ijtima tha lekin is ney mazeed koi tafseel nahi batayi. Afghan Taliban ney Eid ke pehlay teen ayyaam ke douran mein afgha noon forces ke khilaaf jung bandi ka a ellan kya tha aur october 2001 mein America ki Afghanistan par fouji charhai ke baad pehli martaba Afghan Security forces par hamlay nah karne ka wada kya tha. Albata unhon ney kaha tha ke woh America ki qayadat mein Nato fojion par hamlay jari rakhen ge. un se qabal Afghan sadar Ashraf Ghani ney ramadaan al mubarak ki 27 tareekh se Taliban ke khilaaf police aur fouj ki karwaiya aath roz ke liye roknay ka elaan kya tha. is jung bandi ka guzashta mangal se aaghaz huwa tha. Albata unhon ney wazeh kya tha ke ISIL aur dosray jangju groupon ke khilaaf karwai jari rakhi jaye gi. Nangarharmein is khudkush car bomb dhamaka ki ittila se qabal saddar Ashraf ghanni ney Taliban ke sath jari jung bandi mein tosee ka elaan kya tha. unhon ney aik nashri taqreer mein Taliban se bhi kaha tha ke woh apni teen roza jung bandi mein mazeed tosee karen aur hukoomat se aman mazakraat ka aaghaz karen. Taliban ki jung bandi ka jummay ko Eid ke pehlay roz aaghaz huwa tha aur is ki muddat itwaar ko khatam horahee hai. Eid ke pehlay doroz mein Taliban jngjoon, Afghan security forces aur shehrion ney jung bandi par bharpoor andaaz mein achay jazbaat ka izhaar kya hai. unhon ney dar-al-hakoomat Kabul aur dosray shehron mein mushtarqa ijitmaat munaqqid kiye aur aik dosray se khush gawaar mood mein muanqa kya aur baahum mil kar selfie banai hain. check points par bhi Afghan security forces ke ehalkaron ney karon aur motor cyclon par shehron ka rukh karne walay Taliban ka khirmqdm kya hai aur unhein Eid ki mubarak baad paish ki hai