Friday, April 26, 2024
HomeSliderAfganistan ki Surat e haal Hindustan aalami bradri se raabte mein

Afganistan ki Surat e haal Hindustan aalami bradri se raabte mein

New delhi: Hindustan ke vazeer kharjaa Doctor SJ shankar ne kaha hai ke Afghanistan ki Surat e haal ke hawale se alami bradri ke saath musalsil raabte mein hain lekin hamari ab pehli tarjeeh yeh hai ke baaqi Hindustani shehriyon ko Waha se wapis laya jaye Doctor jai shankar ne tamaam opposition jamaton ke parlimani rehnumao ko parliament house ke anex mein Afghanistan ki Surat e haal ke baare mein tafseel se agaah kiya is ke baad doctor jai shankar ne media se kaha hai ke hukoomat ki tawajjeh logon ko Waha se laane par hain.

Hukoomat Afganistan se tamaam Hindustani shehriyon ko jald se jald wapis laane ke liye pur azm hai. Iske liye devi shakti operation ke tehat 6 parwazein chalayi gayi hain. Jin mein beshtar Hindustanio ko wapis laya gaya hain. lekin kuch abhi tak wahi baqi hain unho ne mazeed kaha hai ke hukoomat yaqeeni taur par sab ko wapis laye gi. Kuch Afgan shehriyon ko Hindustani parwazon mein bhi laya gaya hain.

Is ke saath saath hukoomat Afganistan ke hawale se bainul aqwaami sateh par hone wali sargarmiyon aur faislon par bhi nazar rakhe huwe hai aur har mumkin koshish ki jaarahi hain ke in sargarmiyon aur faislon mein Hindustan ka kirdar ke liye jagah ho. Unho ne kaha hai ke prime minister Narendra Modi ne is silsile mein jerman chancellor angila markul aur Roosi sadar piyutan ke saath teliphonic baat cheet ki hai. Vazeer kharjaa ne kaha ke unho ne kayi rehnumao se bhi baat ki hain aur yeh silsila jaari raheiga.

Doctor jai shankar ne kaha ke woh khud aur secretary kharjaa ne opposition jamaton ke rehnumao ko Afganistan ki Surat e haal par tafseelat farahum kareinge. Opposition rehnumao ne bhi apna nuqte nazar paish kiya jo bunyadi taur par Waha se logon ko wapis laane ke barein mein tha. Opposition leadaron ke har sawal ka hukoomat ne tasalli baqsh jawab diya.